Pivot point Kia hai aur iski trading strategy Kia hai??
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Pivot point Kia hai aur iski trading strategy Kia hai??
    Aslam u alaikum,

    Dear forex member umeed karta hun aap sab khairiyat se honge aur apka trading week acha Jara hoga.


    Aj ki post me hum pivot point ko study krengy aur dekhen gy k ye Kia hota hai aur isko kaisyy find karen.aur eski trading strategy Kia hotiii hai.


    Pivot point Kiya hai??


    Dear members pivot point basically aik turning point hota hai market me Jahan se market wapis turn lytii hai.
    Day traders pivot point ko use kar k support and resistance concept k Sath market me achii entery talash karty hain.q k ye reversal ya turning point hota hai kisii bhi bullish ya bearish trend ka.
    Pivot point previous day k high low aur closing aur opening price ki use kar k find Kia jata hai.

    Agr app khud se calculate karna chahty to bhi apko calculate kar k market me dekh sakty hain warna bahut se indicators maujood hain Jo k pivot point se aur isse ooper aur neechy 2,3 resistance and support level bhi provide karty hain.







    Jaisa k ooper picture me pp line pivot point ko indicate kar rahii hai ja k ooper R1 line resistance ko show kar rahi hai aur neechy S1 line line support ko show karti hai.


    Pivot point ko use karty huy trade kaisy karen??


    Dear members pivot point intrady trend aur market me entery aur exit me help karta hai.

    Agr market pivot point se neechy ho to market bearish consider ki jati hai aur hum wait karty hain k market pivot point ko touch kary aur phir wahan se hmm sell ki trade ln hamara first target s1 support hoti hai aur 2nd S2 support.

    Aur hamara syopp loss pivot point se ooper hoga.









    Aur aisy hi Market agr pivot point se ooper ho to market ko bullish consider Kia jata hai aur pivot point se buy ki trade li jatii hai.
    Aur 1 resistance hamara 1st target hota hai.agr market pivot point ko break kardy to trend reversal expected Kia jata hai
    Ap Ka aik thanks bohat zrori ha

اب آن لائن

Working...
X