Disparity Index indicator Full Guide
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Disparity Index indicator Full Guide
    Introduction
    Dosto aaj ka hamara topic hay Disparity Index indicator jis ke bare main hum tafsel se bat karne wale hain to ayye friends details ke sath aaj ke aapne topic ka baqaida aghaz karte hain

    Under Discussion
    Dosto darjezail points jin pat yafseli guftagu ke gai hay aur mutakhib tasaveer ke intakhab ke zarye mozu ko assan aur malomati banane ke koshish kegai hay
    •What Is Disparity Index indicator ?
    •Understanding Point
    •Trade with Disparity Index indicator
    •Note

    What Is Disparity Index indicator ?
    Disparity Index Indicator aik technical momentum indicator ha, jo moving average kay relative kisi pair ki current closing price ki percentage value ko measure karta ha simple alfaz ma hum ye keh saktay hain kay ye indicator market ki current prices ko perticular time period ki prices kay moving average ko compare karta ha jis ka result positive honay ki surat ma pairs ki prices increase honay ka signal milta ha aur negative result pairs ki prices ma fall ko show karta ha,

    Understanding Point
    ye indicator aik simple indicator ha lakin ye traders ko technical anaylisis ma useful informations provide karta ha, indicator ki positive percentage rising prices ko show karti ha aur negative percentage falling prices ki indication daiti ha, is kay ilawa ye indicator trend kay change honay ki bhi information daita ha,

    Trade with Disparity Index indicator
    jab bhi disparity index zero line ko cross karta ha to is sa traders ko usefull signals miltay hain is ka matlab ye hota ha kay ab trend change honay kay kareeb ha, iski above zero line values upward momentum ya buying pressure ko indicate karti hain aur zero line sa below value downward momentum ya selling pressire ka signal daita ha, disparity index ki help sa hum divergence bhi notice kar saktay hain, jab bhi indicator aur prices same direction main move nhi kar rahay hotay to ye divergence hoti ha

    Note
    Hamasha mahfooz trading ke liye Stop loss theory ke use lazmi karain tab he secure trading mumkin hay
    Thank you for your attention

اب آن لائن

Working...
X