Fix Spread aur Variable Spread ka Tafseeli Jaiza.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Fix Spread aur Variable Spread ka Tafseeli Jaiza.
    Assalamu Alaikum dear senior and junior members Jab aap Forex trading market mein Kisi broker ki selection kar lete hain aur usmein apni entry ko mukmmal karte Hain to aisi condition mein aapko har trade open karne ke liye broker ko commission Dena hota hai jisko market mein spread kaha jata hai agar aap market mein kisi bhi broker ko select karte Hain to iske against ho aap se commission jarur charge karta hai iski kuchh important details yah hai.

    Broker's Commission / Spread

    Dear member Jab aap market mein Koi trade open karte Hain to iske against aapko broker ko jarur commission Dena hota hai is commission ko market mein spread kaha jata hai iski ratio totally different ho sakti hai Jab aap market mein kisi broker ko commission dete Hain to ismein aapko kuchh broker jyada commission charge karte hain aur kuchh broker minimum commission charge karte hain.

    Categories of Spread

    Dear member Jab aap market mein commission ke categories ko classified karte hain to ismein aapko do different types ke commission ki types available hoti hai jinki complete details aapko pata honi chahie kyunki Jab aap market mein kisi broker ki selection karte hain to ismein aapko selection se pahle broker ke commission ka bhi completely idea hona chahie kyunki ismein aapke liye ek important factor hota hai.

    Fix Spread

    Kuchh brokers market mein aapko fix commission offer kar rahe hote hain yah vah broker hote hain jinhone apne commission ke charges ki details aapse already share ki Hui hoti hai aur ismein aapko hamesha ek fix rate se commission charge Kiya ja Raha hota hai ismein market ki vo retaility jyada hoti hai ya minimum hoti hai aapko sem rate se Hi commission Dena hota hai is type ko aap market mein fix Spread kaha jata hai.

    Variable Spread

    Variable commission wo commission hota hai ki jo different brokers aapko different occasions per offer kar rahe hote hain aisi condition mein aapko sometime broker bahut jyada commission charge kar raha hota hai aur sometime aapko yah broker minimum commission charge kar raha hota hai aisi type ko aap variable commission ke naam se jante Hain yah commission Same time aapke liye bahut jyada dangerous bhi ho sakta hai isliye Jab aap market mein enter hote hain to aapko market mein broker ki selection karne se pahle yah idea hona chahie ki broker aapko kaun sa commission charge kar raha hai aur iske advantages aur drawbacks kon kon se ho sakte hain.

    Calculating Commission

    Jab aap Kisi broker ka Commission calculate karna chahte hain to aap Kisi bhi pair aur commodities per aasani ke sath isko calculate kar sakte hain kyunki Jab aap metatrader 4 per sign in hote hain to aapko ismein ask price aur bid price ke difference ko calculate karna hota hai aur aap aasani ke sath broker ke Commission ko calculate kar sakte hain.
    Click image for larger version

Name:	IMG-20220908-WA0000.jpg
Views:	1
Size:	41.3 کلوبائٹ
ID:	12556620

اب آن لائن

Working...
X