Peak point
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Peak point
    What is Peak point in Trading Chart?

    Assalamu Alaikum members
    Jab aap market mein apni working kar rahe hote hain aur technical analysis ko complete kar rahe hote hain to ismein aapko hamesha bahut jyada fayda mil sakta hai aapko hamesha jyada se jyada advantages hasil karne ke liye technical analysis ko acchi tarah complete karna hota hai Jab aap market mein technical analysis ko complete kar lete hain to aap ek acchi trading karne ki position mein a sakte hain aaj main aapko technical analysis se related kuchh important information dene ja raha hun jo aapke liye helping platform provide kar sakti hain.
    Click image for larger version

Name:	download (1).jpeg
Views:	1
Size:	5.5 کلوبائٹ
ID:	12556529
    Definition

    Peak point basically ek aisa point hota hai jis point per market mein bahut jyada prices chal rahi hoti hain. Jab aapko market mein kisi specific commodities ki higher prices available hoti hai to aisi condition mein usko peak point ka naam Diya jata hai. yah vah condition hoti hai jismein market is point ko highest point bana kar phir market downwards apni movement start karti hai.

    Categories of Peak Point

    Jab aap is point ko identify kar lete hain to aisi condition mein aap isko further study kar sakte hain aur iski classification kar sakte hain. aap is point ko do major parts mein categorize kar sakte hain. iski details main aapse share karna chahta hun.

    First Peak Point

    Jab market mein aapko higher prices available ho rahi hoti hain aur Market consistently upwards movement kar rahi hoti hai to aisi condition mein Jab market ek highest point banati hai to usko aap market mein first peak point ka naam dete Hain. yah vah point hota hai jismein market is point ko touch kar ke rebound hoti hai aur Market mein prices downwards hona start Ho jaati Hain aur yah point market mein ek resistance level ban jata hai.

    Second Peak Point

    Jab aapko market mein consistently upwards movement observe ho rahi hoti hai to uske bad market mein aapko downwards bhi movement dekhne ko milati hai aur jab market mein aapko yah situation available hoti hai ki market phir upwards movement start kar deti hai to aisi condition mein market ek dafa phir ek highest point barati hai jo already pahle wale highest point ke barabar hota hai is point ko aap second week point ka naam dete Hain aur ismein aapko hamesha bahut jyada careful rahana hota hai kyunki ismein aapko ek aisi information milati hai jismein market phir downwards hoti hai.

    How do you know when a stock will peak?

    Is point ko aap aasani se identify kar sakte hain kyun k yah ek aisa point hota hai jismein market already ek highest point ko touch karti hai aur uske bad market rebound Ho jaati hai aisi condition mein aapko market mein ek acchi resistance ki identification bhi Ho jaati hai aur usmein aapko bahut achcha profit bhi ho sakta hai aisi condition mein agar aap isko aasani se identify kar lete hain to aapko market mein ek achi confirmation milane per aap market mein challenge entry Le sakte hain aur ismein aapko bahut achcha profit ho sakta hai.
    Click image for larger version

Name:	download (2).jpeg
Views:	1
Size:	7.8 کلوبائٹ
ID:	12556528

اب آن لائن

Working...
X