Importance of supply zone and demand zone
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Importance of supply zone and demand zone
    Aslam o alaikum. Dear members umeed karti hun k ap sab achy sey houngey aur forex par achi learning kar rahy houn gey. Yeh forum aik real platform hai jahan hum real trading kar sakty hein. Yahan hum trading ko seekh aur samjh sakty hein. Aj mein ap sab k sath demand and supply k bary mein discuss karunngi jo k bht he important hoti ha trading k liye. Umeed karti hun k ap sab dehaan sey samjhen gein.


    WHat is demand zone ?


    Trading market mein demand jis ka meaning hai k market mein kisi bhi assets ki kitni requirment hoti hai.
    Jab market mein kisi assets ki currency ki demand mein izafa hota hai tou us ki value bhi increase ho jati hai aur is tarah jab b kisi currency ki demand mein kami ati hai tou is ki value mein bhi kami ati hai. Hum aisi market mein jab yeh dekhty hein k market mein is cheez ki demand zada hony wali hai tou wo cheez hum ley lety hein ta k us ki value zada ho .


    what is supply zone ?


    Dear members supply zone wo quantity ya quality hai jo market mein kisi currency ya commodity ki jo market mein majood hoti hai.
    Agar kisi currency ki supply market mein zada hoti hai tou us currency ki value mein kami ajati hai. Agar kisi currency ki supply mein kami ajaye tou us ki value mein izafa hota hai. Kuch traders mostly yeh cheezen purchase karty hein ya in cheezon mein invest karty hein.
    Mostly un cheezon mein invest karty hein jin ki value kam hoti hai kyun k un ki value mein lagatar izafa dekhny ko milta hai. Agar hum gold aur normal pathar ka andaza laga lein but normal pathar hum ko har jaga sey milty hein tou wo free hein ya boht sasty hein. Isi tarah forex market mein jis currency ki demand zada hoti hai wo high rate par milti hai aur jis ki supply zada hoti hai wo kam rate par milti hai.


    Explanation between supply and demand :


    Trading market mein work karty huye hamen demand and supply zones ka idea hona chaiye.
    Jab market mein demand zada aur supply kam hoti hai tou demand supply competitions ki waja sey prices mein izafa hota hai. Jab bhi market mein supply zada aur demand kam hoti hai tou is situation mein market ki value mein kami ajati hai.


    Conclusion ;


    Trading market mein demand and supply zone dono same houn tou demanddemand jitni do utni he supply ho.
    Jab market ki value na tou decrease hoti hai aur na he increase hoti hai. Jo traders market mein supply zone par sell ki trade lagaty hein ya demand zone par buy ki trade lagaty hein wo maximum advantages hasil karty hein. Isi liye hamen different factors par study kar k trading mein work karna chaiye ta k hamen proper experience ho jaye. Market mein supply zone par sell ki trade lagaty hein aur demand zone par buy ki trade lagaty hein jo hamen maximum profitable ho sakti hai.

اب آن لائن

Working...
X