Discussion on Lonhlg wick candle.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Discussion on Lonhlg wick candle.
    Long upper shadow candlestick aik single candle, small real body wali bearish trend reversal pattern hai, jo k prices k top ya bullish trend main banta hai. Pattern ki small real body bullish ya bearish dono tarah se mumkin hai, lekin candle k leye zarori, iss ka prices k top par banna hai. Ye candle aik lambey ooper saye k sath banti hai, jiss k down side par koi shadow nahi banta hai. Candle k nechay side par small wick acceptable hai, lekin ye wick real body se size main bara nahi hona chaheye. Ye candle prices k leye top prices par resistance level ka kaam karti hai, jahan se prices rebound ho jati hai. Jab candle aik timeframe k dowran prices pehle bullish jane k baad wapis bearish jati hai, lekin apne aghaz ya open price k same price par close nahi hoti hai, bulke aik small real body banane k baad, aik lamba ooper saye k sath close ho jati hai, to ye aik long upper shadow candle banti hai.



    Candles Formation


    Long upper shadow candlestick candle prices k top main ziada supply aur kam demand k natijay main wajood main ati hai. Ye candle aik strong reversal k leye jani jati hai, jo k upward side main kisi bhi color ki real body main ho sakti hai. Candle ki formation darjazzel tarah se ho sakti hai;



    Long Upper Shadow Candle: Long upper shadow candlestick agar prices k top main banti hai, to ye bullish ya bearish dono main se jiss color main bhi ban jaye, lekin essey aik bearish candle hi tasawar ki jati hai, q k ye point trend reversal ki position ho sakti hai. Candle k leye prices k position zarori hai, color nahi hai.

    Explanation

    Long upper shadow candlestick prices k top par market k rebound hone ka aik strong signal hota hai. Jab bhi kisi assets ki prices trading k dowran bohut ziada bullish move kar jati hai, to resistance zone par aksar kuch candles achanak prices to fall nahi karti hai, lekin prices k downtrend jane k aik ishara zaror deti hai, jiss se analyst faida hasil karte howe market main apne trades ki entry karte hen. Long upper shadow candle prices k top par small real body k sath long upper shadow k sath banti hai, jiss ki real body ka bullish ya bearish hona zarori nahi hai, bulke candle ki position ziada important hai. Candle k lower side par shadow nahi hona chaheye, lekin agar banta bhi hai, to shadow ka size candle ki real body se ziada nahi honi chaheye.



    Trading

    Long upper shadow candlestick trading k leye aik strong signals genrate karta hai, agar prices chart pattern par resistance zone par trade kar rahi ho to. Candle par trading se pehle iss ka long timeframes par select hona zarori hai, jab k candle k baad aik bearish confirmation candle ka bhi hona zarori hai. Candle k baad bullish candle banne candle k bearish trend reversal pattern zaya ho jata hia. Bearish candle real body main honi chaheye, jo k Long upper shadow candle k bottom par close honi chaheye. Trend confirmation k leye CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator ka overbought zone main hona zarori hai, jab k candle k leye Stop Loss sab se top position jo k umoman candle ki shadow ka top banta hai, se two pips above set kia ja sakta hai.

اب آن لائن

Working...
X