Assalamu Alaikum Dosto!
Inverted hammer Candlestick
Inverted hammer candlestick aik long upper tail k sath short body ki aik single candlestick pattern hai, jiss ka open aur close price aik dosre k qareeb hone chaheye. Ye candle dekhne main doji candles ki tarah lagti hai, lekin doji candlestick se mukhtalif hoti hai, q k doji candlesticks me body banti hi nahi hai aur is me short body hoti hai. Inverted hammer ki aik long upper tail lower prices is baat ka ishara karti hai, k ab yahan se price reject ho gaye hai. Is waja se wo dosre(reversal) semat me apne trend ko continue karti hai. Is me trend ki semat (reversal) change hoti hai bulke jo candlestick hammer banti hai us k tail ki same side par trend shoro hoti hai. Inverted hammer candlestick pattern bullish aur bearish dono tarah ki candle main ho sakti hai, lekin market aur prices k ziada lower area main hone ki waja se ye bullish trend reversal k leye ziada mashahoor candles hai.
Candles Formation
Inverted hammer candle prices k bottom main ziada supply aur kam demand k natijay main wajood main ati hai. Ye candle aik strong reversal k leye jani jati hai, jo k downward side main kisi bhi color ki real body main ho sakti hai. Candle ki formation darjazzel tarah se ho sakti hai;
Inverted Hammer Candle: Inverted hammer candlestick agar prices k bottom main banti hai, to ye bullish ya bearish dono main se jiss color main bhi ban jaye, ye bullish candle hi tasawar ki jati hai, q k ye point trend reversal ki position ho sakti hai. Candle k leye prices k position zarori hai, color nahi hai.
Explanation
Inverted hammer candlestick price chart par aksar bottom ya top prices par nazar ati hai aur aksar issi position prices reversal ho jati hai. Ye candle aik spike ki sorat main nazar ati hai, jab bhi kisi strong news ki waja se prices teezi k sath downward fall karne k baad wapis apne upper open price k qareeb ja kar close hoti hai. Ye candle aik long upper shadow k sath hoti hai, jiss k lower side par aik small real body hoti hai. Candle k lower side par small wick banne se candle ki performance par koi asar nahi parta hai, lekin ziada lamba shadow banne se candle ki hososeyat neutral ho jati hai. Real body ka color kisi khas pattern ka hona zarori nahi hai, lekin iss candle ki lower prices main hona ziada aham hai. Dekhne main ye candle bottom prices par banne wali dragonfly doji candle ki hi ulat lagti hai.
Trading
Inverted hammer candle prices k bottom main ziada bearish pressure parne par banti hai, jiss se aik small real body ki candle k upper side par aik lamba saya hota hai, jo k candle k real body se taqreeban dugna ya uss se bhi ziada banta hai. Ye candle aik strong bullish signal genrate karti hai, jiss par confirmation k baad buy ki entry ki ja sakti hai. Confirmation candle ka bullish real body main hona zarori hai, jab k bearish candle banne se ye candle invalid ho jati hai. CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value oversold zone main trade karni chaheye, jis se confirmation aur bhi ziada mustehkam hoti hai. Stop Loss pattern k sab se lower position ya candle k real body k lower side par jo k prices k leye support level hoti hai, se two pips below set karen.