Forex Mein Loss karne ke 6 Big Reasons Aur Un k Solutions
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Mein Loss karne ke 6 Big Reasons Aur Un k Solutions
    FOREX MEIN ZAYADA LOG LOSS MEIN KYUN HEIN :


    LOSS REASONS AUR UN K SOLUTIONS:

    1. Forex aik mushkil aur high skilled businesshai jab k log es ko bahot asan aur raton rat ameer hone ka shortcut smjhte hein matlb
    ghalt soch aur ghalt approach le kr forex mein enter hote hein aur ye loss ke sab s bari reason hai. Es ka solution ye hai k forex
    beginners ko apni soch aur
    approach change krni chahiye. Forex ko b doosre bare businessaur profession ke trah serious aur
    mushkil smjhna chahiye aur es k liye 5 ya 10 sal ka plan krna chahiye seekhne aur experience krne k liye.


    2. Doosri bari reason forex k proper college, institutes aur universities nai hein jis trah baqi professions aur business k hote hein jis
    ke wajha s beginners ko seekhna bahot mushkil ho jata hai aur es ka aik he solution hai k expert aur experienced forex traders s
    seekhna chahiye.

    3. Teesri bari reason forex ka right knowledge na hona hai aur us ke bari reason social media pe aur internet pe zayada log forex ka
    ghalt knowledge promote kr rahe aur sell kr rahe hein aur es problem ka solution ye hai k kisi aise expert aur professional bande ko
    talash kiya jaye jo successful b ho aur us k pas right knowledge b ho. Es k liye bahot ehtiyat s kam lena chahiye kyun k zayada log
    scam krte hein.

    4. Chauthi bari reason acha teacher dhoondne k bad us ko zayada tar mukamal taur par follow na krna krna hai aur es ka hal ye hai
    k
    achi trah patience s trading ko seekhna chahiye phir teacher k bataye gaye usoolon k mutabiq trading krni chahiye.

    5. Fifth bari reason achi trading seekhne k bad overconfident hona, overtrading krna aur proper money management nai hai aur es
    ka solution ye hai k confident reh k trade ke jaye aur jo rules apne entry aur exit k seekhe hein un ko break nai krna chahiye aur na
    un s deviate hona chahiye aur trade b tab he leni chahir jab rules k mutabiq entry ban rahi ho aur apni amount ka aik time mein aik
    ya zayada trades pe total 10% s zayada ka risk na len tak k ap ke kuch consecutive trades loss mein chali b jayen tu easily loss
    recover
    kiya ja sake.

    6. Sixth bari reason aisi strategy ya method ke talash hai jis ka success rate rate 100% ya km z km 90% ho, ye soch aur approach b
    ghlt hai kyun k har startegy aur method ke kuch limitations hoti hein aur forex kyun k future prediction hai tu ye na mumkin hai k
    sari predictions sahi hon ya 90%. Es ka hal ye hai k ap ka ye mindset hona chahiye k ap ko overall profit mein rehna hai ya ana hai .

    For example aik trader ke 10 trades mein 8 trades profit mein gayen aur us ko total profit 80 usd ka hua aur us k bad 2 tardes loss
    mein chali gayen aur un 2 trades ka loss 100 usd hua ab overall loss 20 usd hai , ye aik unsuccessful trader hai kyun k overall loss
    mein hai jab k es ka win rate 80% hai. Aik doosra trader jis ne b 10 trade len lkn us ke 8 trade loss mein chali gayen aur us ko 80
    usd loss hua aur 2 trades us ke profit mein gayen jin ka profit 120 usd hua tu overall us ka profit 40 usd hai tu ye aik
    successful trader hai jab k us ka win rate 20% hai.

اب آن لائن

Working...
X