Important information about "Forex Whipsaw"
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Important information about "Forex Whipsaw"
    Whipsaw in forex trading


    Forex trading market me bhi wispaw ka amal ho sakta hai aur financial market me bhi hamen wispaw k amal se guzar ho sakta hai. Wisoaw wo amal hota hai k jab market hamare ya financial roles k mutabiq aik khas trend se move kar raha hota hai lekin achanak us me bohut bari tabdeeli a jati hai, jis se market ki price yakdam badal jati hai. Market ki ye unexpected movements wispaw kehlati hai jis se market me traders bhi heram wa pareshan ho jate hen. Wispaw ka amal kisi bhi waqat ho sakta hai, aur is me hamen market mai har qisam ki tabdeeki k leye tayar rehna chaheye. Last week ko jab American presidential election me Joe Biden ne sabeqa president Donald Trump ko jese hi hara deya aur market me ye news a agye to traders expect kar rahe the k gold ki price 1960$ se 2000$ ka area bohut jald cross kar jaye ga, q k results k ibtedaye natayej se gold 1900$ area se 1960$ pe chala gaya tha. Lekin usi dowran achanak Corona vicine ki news a gaye k aik American company ki Corona vicine 90% effective hai patients pe to is se market me bohut ziada unexpected movements a agye aur gold ki price 1960$ ki area se aik hi hour me 1860$ ki area pe agaye. To maximum traders k leye ye market ki wispaw ho gaye hai.

    Click image for larger version

Name:	images (377).jpeg
Views:	1
Size:	10.7 کلوبائٹ
ID:	12552880

    Wispaw k ziada loss se bachna

    Market ki unexpected movement ka bhi bhi kisi bhi waja se ho saakti hai jis se hamen bohut zyada loss bhi ho sakta hai. Market ki ye movement jo wispaw movement hai to us se hamen bachne ka aik hi rasta hai k hum jab bhi market me trade open karen to us k sath sath humen market me stop loss zaror istemal karna chaheye. Stop loss hamen wispaw ki movement se mukamal to nahi bacha sakti hai lekin hamara liss bohut kam kar sakti hai. Stop loss ka sahi position pe lagana chaheye. Forex trading me hamare account k safety k leye hamen apne account pe trade k sath stop loss ka bhi istemal karna chaheye, is se hamara account bohut safe hota hai aur jo loss hoti hai wo kam az kam account wash se behtar hi hoti hai. Hamari koshish honi chahie k jab bhi trading karen to account ko safe karne k leye stop loss ka sahi position pe istemal karen.

اب آن لائن

Working...
X