Assalamu Alaikum Dosto!
Bullish Kicking Pattern
Bullish kicking pattern main bearish trend k dowran aik bullish candle upper gap main open ho kar above par ja kar close hoti hai, jiss se pattern k bearish trend ka khate ma ho jata hai. Ye pattern two days candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo k qeematon ko upward push karti hai. Pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jo k open pehli candle se above gap main hoti hai, aur mazeed upper par ja kar close hoti hai. Yanni pehli aur dosri candles k opening prices k darmeyan up side par gap banta hai. Bullish kicking pattern ka opposite side ya top price par bearish kicking pattern banta hai, jo k bearish trend reversal pattern hai.
Candles Formation
Bullish kicking pattern main prices bearish trend k khatme par aik strong bullish attack hoti hai. Jiss se bearish trend bearish main badal jata hai. Ye pattern bearish aur bullish candles par mushtamil hota hai, jiss ki formation darjazel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bullish kicking candlestick pattern main pehli candle aik bullish candle hoti hai, ye candle price k downtrend ko show kar rahi hoti hai, jo k black ya red color ki candle hoti hai. Ye candle aik strong real body main banti hai, yanni candle ki real body shadow se ziada hota hai.
2. Second Candle: Bullish kicking pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jo k open pehli candle k upper par gap main hoti hai aur close above price par ja k hoti hai. Ye candle color main white ya green hoti hai, jo k bearish trend ka khatma karti hai.
Explanation
Bullish kicking pattern two days candles ka aik bullish trend reversal pattern hai, jo k "Separating Line Pattern" se mushabehat rakhta hai. Ye pattern prices k bottom par ban kar same bullish trend reversal pattern ki tarah prices k bearish trend k khatme ka bahis banta hai. Pattern ki pehli candle aik strong bearish candle hoti hai, jiss ko aik bullish candle follow karti hai. Bullish candle bearish candle k top par gap main open ho kar upper par close hoti hai. Pehli aur dosri candles k darmeyan main wazih faraq hona chaheye. Ziada tar ye dono candles Marubozu candles hoti hai, jiss main kisi aik side par ya dono sides par candles ki small wick mumkin ho sakti hai.
Trading

Bullish kicking pattern buyers ki achanak market main pressure ki waja se banti hai, jiss main market main sellers ki dabao ka khatma karke prices k bottom ko bullish trend main badal deti hai. Bullish kicking pattern par trading se pehle aik confirmation white candle ka hona zarori hai, jo k dosri candle k baad real body main honi chaheye, jiss par buyers market main buy ki entry kar sakte hen. Aggar pattern k baad black candle banti hai to pattern ki reliability khatam ho jati hai. Stop Loss k leye pattern ka sab se bottom position muntakhib karen, jo k pehli candle ka close price banega, se two pips below position select karen.