Assalamu Alaikum Dosto!
Bullish Meeting Line Candlestick Pattern
Bullish meeting line candlestick pattern aik bullish trend reversal pattern hai, jo price chart par do candles se mel kar banta hai. Pattern main shamil pehli candles bearish hoti hai, issi waja se pattern k leye prices ka pehle se low area ya bearish trend main hona zarori hai. Two days candles ki accuracy single day pattern se behtar hota hai, q k iss main aik candle thori bohut confirmation bhi deti hai. Jab bhi market main sellers prices ko aik khas level tak nechay push karte hen, to yahan par trend reversal k imkanat ziada hote hen, ye trend confirmation aksar kuch pattern se confirm ho jati hai, jiss main bullish meeting line pattern bhi shamil hai.
Candles Formation
Bullish meeting line candlestick pattern prices k downtrend ya lower par high demand ki waja se banta hai, jahan par trend reversal k ziada imkanat hote hen. Pattern main shamil candles mukhtalif pattern ki yanni bearish aur bullish hoti hen, jiss ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bullish meeting line candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k prices ko downtrend ya bearish trend ki akasi karti hai. Ye candle bearish trend ko mazeed nechay ki taraf push karti hai, aur market main low demand ko zahir karti hai. Ye candle aik normal real body wali candle hoti hai.
2. Second Candle: Bullish meeting line candlestick pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k bottom par gap main open hoti hai, jab k close ussi candle k same close price k ooper hoti hai. Pattern k bearish aur bullish candle ka close point lazmi same hona chaheye, Ye candle bearish trend k khatme ka bahis banti hai.
Explanation
Bullish meeting line candlestick pattern prices main bearish trend k dowran ban kar prices ko mazeed nechay jane se rok leti hai. Ye pattern aik strong trend reversal ka signal deti hai. Pattern two days candles par mushtamil hai, jiss ki pehli candle aik strong bearish candle hoti hai, jo k prices k bearish ya downward trend ki alamat hoti hai. Pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, aur iss candle ka open price pehli candle se gap main hota hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k prices ko nechay jane se rokh deti hai, jiss se prices ka mazeed down-fall stop ho jata hai. Pattern ki dosri candle ka open pehli candle k close se bottom par gap main hota hai, jab k close pehli candle k same closing price par hota hai, jiss se dono candles ka close price in-line hota hai.
Trading
Bullish meeting line candlestick pattern prices k bottom main banne ki waja se aik bullish signal genrate karta hai, jiss par market main buy ki entry ki ja sakti hai. Pattern par trade enter karne se pattern ki dosri candle aik confirmation candle ki zarorat parti hai, jo k real body main aik bullish candle honi chaheye, aur dosri candle k top par close bhi honi chaheye. Pattern ki confirmation CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss ki value oversold zone main honi chaheye. Pattern k baad bearish candle se pattern invalid tasawar kia jayega. Pattern ka Stop Loss sab se lower ya dosri candle k open price se two pips below par set karen.