Descent Block Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Descent Block Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Descent Block Candlestick Pattern


    Descent block candlestick pattern price chart k bottom par banne k bad market inverse movement shoro karta hai, aur ye pattern teen bearish candles par mushtamil hota hai. Pattern ki pehli candle candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jab k middle wali candlestick pehli candle se size main choti lekin long lower shadow wali hoti hai. Pattern ki last candle aik hanging man candle se melti julti candle hoti hai, jiss k lower side par lamba saya hota hai. Price chart par aapko hirani hogi k jab aap bullish stalled pattern ko bhi same issi pattern se melta julta dekhengay, lekin bullish stalled pattern ki last candle aik small bearish marubozu candle hoti hai.

    Candles Formation


    Descent block candlestick pattern prices k bottom main assets k support level par banta hai, jahan se prices ne bullish trend reversal main tabdeel hona hota hai. Ye pattern teen lagatar bearish candles ka aik majmoa hai, jiss main teeno candles lower low par close hoti hai, jin ki tafseel darjazel hai;

    Click image for larger version

Name:	images (3) (627).png
Views:	21
Size:	1.4 کلوبائٹ
ID:	12552056

    1. First Candle: Descent block candlestick patteren ki pehli candle aik bearish candles hoti hai, jo k real body main strong candle banti hai, aur ye candle prices k downtrend ki tasalsul ki alamat hoti hai. Pattern ki pehli candle aik bagher upper aur lower shadow ki hoti hai, jiss ka open price close price se ooper hota hai.

    2. Second Candle: Descent block candlestick patteren ki dosri candle bhi same pehli candle ki tarah aik bearish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k real body ya uss k close price k baad open hoti hai, jo k lower par close hoti hai. Iss ka candle ki real body pehli candle k muqabele main kam hoti hai, jab k lower side par aik lamba shadow hota hai.

    3. Third Candle: Descent block candlestick patteren ki teesri candle bhi same pechli do candles ki tarah aik bearish candle hoti hai, jo k dosri candle k real body ya uss k close price par open ho kar lower par close hoti hai. Ye candle ziada tar pechli dono candles se size main kam hoti hai, jab k lower side par aik lamba shadow hota hai, jo k umoman real body se size main ziada hota hai.

    Explanation

    Descent block candlestick pattern price chart par banne wale un pattern main shamil hen, k jiss main shamil tamam candles same pattern k hone k bawajood bhi ye trend reversal ka kaam karti hai. Pattern price chart par bearish trend ya low price area main banta hai, jo k matloba timeframe main ye position prices k leye support zone sabi hota hai. Pattern teen bearish candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo k prices k lower side par strongness shadow karti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle se real body main kam hoti hai, lekin long lower shadow k sath pehli candle k lower par close hoti hai. Pattern ki last candle hanging man candle se melti julti candle hoti hai, jiss ki small real body k lower side par aik lamba shadow banta hai.

    Trading

    Descent block candlestick pattern par trading bhi dosri bullish trend reversal ki tarah ki jati hai, lekin market main entry se pehle confirmation candle ka hona zarori hai, q k pattern ki teeno candles bearish hoti hai. Confirmation candle real body main bullish honi chaheye, jo k teesri bearish candle k above close honi chaheye. Lekin agar pattern k baad bearish candle banti hai, to ye trend continuation pattern ka kaam karegi. Jiss par buy ki entry ki bajaye sell ki entry ki ja sakti hai. Stop Loss pattern k sab se lower side par ya last hanging man candle k lower prices se two pips below set karen.


    Click image for larger version

Name:	images (3) (628).png
Views:	29
Size:	6.4 کلوبائٹ
ID:	12552055

اب آن لائن

Working...
X