Important information about " Forex Demo Account"
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Important information about " Forex Demo Account"
    Demo Account


    Demo account forex trading market ki origenal aur asal trading seekhne ka aik aham platform hai, jiss ko har aik trader k leye free me dasteyab kia gaya hai. Demo account pe trading se na sirf ghaltion se chutkara mel sakta hai, bulkeh trading k dowran hone wale mukhtalif analysis ka bhi sahi tareeqay se istemal ka knowledge hasil ho jata hai. Forex trading ka karobar bohut zyada riski hai, aur koi bhi shakhs is ko asaani se sar-anjam nahi de sakta. Forex trading me real money ka istemal hota hai, dosra is business me mamoli se ghalti se minton aur ghanto k andar andar investors ko lakhon (millions) ka loss ho sakta hai. Is waja se har broker apne clients k help k leye free me demo account ki access deta hai.
    Trading k dowran loss sab ko hota hai, kamyab trader us loss ko kam se kam karte hen, jab k new trader ya na-turaba-kar trader losses me phanste jate hen. Agar hum demo account pe pehle se kaam karte rahe to is se hum real trading k dowran apne losses ko kam kar sakte hen.
    Demo account normal forex trading k live account ki hi tarah se kaam karte hen, bas me istemal hone wala raqam majazi (virtual) hota hai, yani is k nafa nuqsan se humen koi faida ya loss nahi hota. Demo account k bagher koi bhi trader asani is business me successful nahi reh sakta. Kam az kam aik new trader k leye seekhne k sath sath do (two) maheene tak demo account pe trading karna zarori hai.
    Jab tak trader mukamal tawar par expert nahi banta us waqat demo account istemal karna chaheye, lekin do maheene me agar koi seekhna chahy to bohut kuch learn kar sakta hai. Forex trading me demo account k wese to bohut sare fawayed hen lekin un me se chand aik aham hososeyat nechay deye gaye hen;

    Click image for larger version

Name:	images (320).jpeg
Views:	7
Size:	42.4 کلوبائٹ
ID:	12552054

    Knowledge aur Experience


    Demo account se hi forex trading ka knowledge increase kia ja sakta hai, q k ye business bagher knowledge aur experience k karna bohut riski hai. Forex trading me wese to hazaron aur lakhon ki tadad main daily base par traders kaam karte hen, lekin ziada tar loss hi uthate hen, q k maximum traders ya to new hote hen aur ya un k pass forex trading ka knowledge nahi hota hai. Demo account k istemal se traders k experience aur trading k hawale se skills ki improvements hoti hai, jo k hamare trading k leye bohut hi ziada zarori hai. Knowledge se experience aur experience se knowledge bhi demo account ki madad se hasil hota hai.

    Technical Analysis ka Experience

    Demo account technical analysis main bohut help uss waqat deta hai, jab bhi hume new trading skills ya strategy banate hen lekin uss k azmane k leye koi account ki zarorat hoti hai. Demo account hamare analysis me bohut ziada kar-amad sabit hota hai. Seekhne k marahil k dowran jitne bhi analysis pehle agar hum demo account pe test karengay to is se hamare analysis ki success ziada hoti jayegi, aur trading me uss me koi masla nahi deta hai.

    Risk Management

    Forex trading me hamesha wo trader kamyab rehte hen, jo trading ko aik proper osool k mutabiq sar anjaam dete hen. Real trading me discipline ka hona bohut ziada zarori hai. Lekin aksar awqat jab trader loss me hota hai, to wo sab kuch bhool jata hai, is waja se humen trading k dowran discipline ko barqarar rakhne k leye demo account ka istemal karna chaheye, jo humen apne discipline pe barqarar rakhne me madad kare. Demo account se traders money management aur risk management seekh sakta hai, jo k humare trading me risk-reward ratio k leye bohut hi ziada zarori hai.

اب آن لائن

Working...
X