Trading with only Price actions analysis.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading with only Price actions analysis.
    What is a price action:



    Price actions prices ki movements aur iski securities ki explaine karty hai, prices ki movements ka aik dusray k sath bahut ziada relation hota hai jisko follow kartay huway traders market chart pay is baat ko clear aur identified kartay hain k prices past main kab kitna aur kis hisaab say movements kar chuki hain aur mazeed kitna movements karnay k chances ban saktay hain. Price actions ki is movements k amal ko traders price acion k name say recognize kartay hain jinko technical analysis ki help say clear aur solve kiya ja sakta hai k price kis hisaab say movements aur kitna movements kar chuki hai isay traders price actions kehtay hain.



    Who Should Use Price Actions:



    Price actions method k sath trading karnay k liye traders is liye bhi agree hotay hain qk is main market chart pay traders ko short-term aur medium-term k sath trading karnay ka mouka milta hai, price actions trading strategy main traders kabhi bhi long-term ki trading ko mumkin nai bana saktay hain.
    Kuch aisay bhi traders market main trading kartay hain jinka yeh khayal hota hai k market kisi bhi techniques k sath movements nai karty hai aur na he kabhi market kisi aisay pattern ko follow kartay huway movements karty hai jis say market ko samjhnay main asaani ho jaye, to aisay traders ki soch sirf yahi tak mehdood honay ki wajha say wo market main fail ho jatay hain.



    What are Factors in Identifying Price Actions:



    Jab traders market chart ko achi tarha say smajhnay main success hotay hain tab unko is baat ka sahi aehsas hota hai k market main price action ko recognize karnay k liye tamaam technical analysis jaisay k trend lines, price ranges, high aur low swings, support aur resistance levels etc ko follow kartay huway traders market k chart ko asaani say samjhtay huway trading say acha benefit hasil karnay main success hotay hain.
    Price actions trading strategy main trading karnay k liye traders kabhi bhi same situations k sath trading ko possible nai bana saktay hain, qk chart main har aik movements ka apna method hota hai jisko follow kartay huway traders trades ki situations ko samjhnay main skills hasil kartay hain.



    Price Action trading strategies:



    Mairay knowledge k hisaab say price action trading strategies ko follow karnay k liye darj zail points ko agar traders follow kartay hain to wo isay samjh bhi saktay hain aur sath sath is technique say aur bhi acha result hasil kar saktay hain.

    1: Multi-candle chart patterns often hotay hain aur accurate hotay hain than single-candle patterns.
    2: Trend k confirm honay tak ka wait krna chaye.
    3: Locate the most significant inflection points.
    4: Identify critical zones of support and resistance.

    Agar in chand aik rules ko follow kiya jaye to traders price action trading strategy k rules ko bhi samjh saktay hain aur is say faidamand bhi ho saktay hain.



    Click image for larger version

Name:	price action1.png
Views:	1
Size:	31.2 کلوبائٹ
ID:	12551473

    Click image for larger version

Name:	prce action2.png
Views:	1
Size:	29.6 کلوبائٹ
ID:	12551474


    Shukrya.
    Last edited by ; 07-08-2022, 10:31 PM. وجہ: Spelling corrections.

اب آن لائن

Working...
X