What is Pending Orders and How to Apply it on Metatrader 4.....
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Pending Orders and How to Apply it on Metatrader 4.....
    Aslam u alaikum,

    Dear forex member umeed karta hun aap sab khairiyat se honge dear members Forex Trading Market mein aap orders ko 2 major types mian convert Kar sakhty Hain Jo respectively pending orders or instant order ka name sa janty Hain. Aaj main aapko pending orders ki kuch information share karna chahta hun.



    Pending Orders

    Pending Orders aik eisa tools hai, jismein aapki required price per aapki trade excute ho jati hai. Pending Orders ki following mentioned types hoti hain, or enko activate krny ka complete process app sa explain krun ga.

    Buy Limit

    Jab aap market mein buying ki kei entry Lena chahty Hain, or currently situation main prices us level ko touch nahin kar rahi hain, tu eisi condition main aap Buy Limit ko properly utilise kar sakhty Hain. For example aap Gold ko 1810 price sa buy krna chahty Hain, or currently iski prices 1817 dollars chal rahi hai, tu eisi situation main aap buy limit place Kar sakhty Hain.

    Buy Stop

    Buy Stop bhi buying entry Kay liye utilise hota hai, liken jab currently price down hoti hain, or aap aik resistance level Kay Breakout per trade krna chahte Hain, tu usk liye aapko Buy stop ko place karna hota hai. Agar currently gold prices 1810 hain, or aap 1835 sa buying trade Lena chaty Hain, tu usk liye aapko buy Stop lagana ho ga.

    Sell Limit

    Selling entry leny Kay liye aapko sell limit offer Kia jata hai, agr market main currently prices sa above prices per app sell krna chahte Hain, tu usk liye sell limit lagana hota hai. For example agar aap GBP USD per selling limit lagana chahte Hain, or iski currently prices 1.3825 hai, liken aap 1.3855 sa sell krna chahte Hain, tu eisi situation main aapko sell limit lagana hota hai. Sell limit ki calculation krny Kay liye aapko ik achy level ki resistance ko find krna hota hai.

    Sell Stop

    Sell Stop ko properly utilise krny Kay liye aapko aik support level ki breakout per iski placing krna hoti hai. Jab market aik level ko break Kar Kay down ati hai, tu usk bad further expected sell ana hota hai, tu eisi situation main aapko sell limit lagana hota hai.

    Ap Ka aik thanks bohat zrori ha

اب آن لائن

Working...
X