Long Lower Shadow Candlestick
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Long Lower Shadow Candlestick
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Long Lower Shadow Candlestick Pattern


    Long lower shadow candlestick pattern single candle pattern hone ki waja se technical analysis main bohut ziada istemal hone wala aik bullish trend reversal pattern hai, jiss ko na sirf forex trading mein ziada istemal kia jata hai, balkay index, bands, aur cryptocurrency trading mein bhi is ka khasa use hota hai. Long lower shadow candle price action traders ko bullish ya bearish trend ke baad mumkina trend reversal ko talaash karne mein madad kar sakti hain. Long lower shadow candle ki karkardagi ka inhisar selected timeframe par hota hai, jab bhi ye candle prices k bottom par banti hai, to ye mumkina bullish trend reversal ka signal deti hai. Long lower shadow candlestick dosre indicators k sath prices k bottom par bullish trend reversal ka k leye ziada mashahoor hai, jiss k opposite direction main top prices main long upper shadow candle banti hai. Long lower shadow candle k sath prices k bottom par aik hammer candle bhi same hososeyat rakhti hai, jo bullish trend reversal ka sabab banti hai, lekin shape main long lower shadow candle se mukhtalif hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (545).png
Views:	1
Size:	21.9 کلوبائٹ
ID:	12549593

    Candles Formation


    Long lower shadow candle ki reliability ka inhisar price chart par muntakhib karda timeframe par hota hai, jitna ziada timeframes lamba select hoga, candle ki haseyat ziada strong banti jayegi. Long lower shadow candle price chart par darjazzel hososeyat k sath banti hai;

    Click image for larger version

Name:	IMG_20220804_234218.jpg
Views:	1
Size:	32.0 کلوبائٹ
ID:	12549595

    Long Lower Shadow Candle: Long lower shadow candlestick bullish trend main bulterteeb buying aur selling pressure ki waja se banti hai, jiss main candle ki ziada tar hososeyat bullish trend ki hoti hai. Ye candle small real body main hoti hai, jiss ka lower side par aik long shadow hota hai. Candle ki real body bullish aur bearish dono ho sakti hai, lekin ye candle bullish candle hi shumar hoti hai.

    Explanation

    Long lower shadow candlestick pattern aik small real body main lower side par long shadow wali candle hai, jiss main prices bearish trend ko reject karne ka ishara deti hai. Candle ki shape bearish ya bullish dono tarah se ho sakta hai, jab k candle ki shadow real body k size se dunga ho sakti hai. Long lower shadow candlestick aik aisa pattern hai, jo mukhtalif financial markets ke sath achi tarah kaam karta hai. Yeh candlestick ke sab se mashhoor pattern mein se aik hai, jisay trader price ki harkat ko dekhte hue result ke imkaan ka andaza laganay ke liye istemaal karte hen. Candlestick price chart mein, har aik candle selected timeframe ke mutabiq aik period se mutaliq hoti hai. Long lower shadow candle single candle hone ki waja se har aik timeframe main aik hi candle ka pattern hoga.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (544).png
Views:	83
Size:	5.2 کلوبائٹ
ID:	12549594

    Trading

    Long lower shadow bullish ya bearish dono shapes main bullish trend reversal ki hososeyat ka hamil hoti hai, q k prices k bottom ya bearish trend main ye candle prices k leye support zone ka role play karti hai. Single candle pattern main jitna ziada lamba timeframes hota hai, iss ki reliability uss k hisab se achi hoti hai. Candle par trading se pehle long term ki timeframe k sath aik trend confirmation candle ka hona bhi zarori hai, jo k real body main bullish candle hone k sath Long lower shadow candle k top side par close honi chaheye. Candle ki confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jis ki value oversold zone main honi chaheye. Stop Loss candle k sab se bottom ya low price se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (543).png
Views:	15
Size:	11.5 کلوبائٹ
ID:	12549592

اب آن لائن

Working...
X