Important information about "Deliberation Candlestick Pattern"
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Important information about "Deliberation Candlestick Pattern"
    Deliberation Candlestick Pattern


    Introduction


    Deliberation pattern aik bearish trend reversal pattern hai jo k teen candles par mushtamil hota hai. Pattern ki formation same "Three White Soldier Pattern" ki tarah hoti hai, lekin is ki akhari candle aik small real body wali white hoti hai, jo ziada tar Spinning top ya doji candle bhi ho sakti hai. Deliberation pattern ko "Stalled Pattern" bhi kaha jata hai. Deliberation pattern me shamil teeno candles white real body wali honi chaheye, jis me 1st aur 2nd candle ki real body bare size me honi chaheye. "Advance Block pattern" ki tarah delibration pattern bhi bullish trend k khatme ka ishara deta hai, jo k 3rd number par banni wali spinning top candle se zahir hota hai. Pattern ki pehli aur dosri candles strong bullish candles hoti hai, jab k teesri candle aik small real body wali ya Spinning top bullish candle hoti hai. Spinning top candle dosri candle k qareeb ya gap dono tarah se ho sakti hai, jo k top trend ko mazeed bullish jane main rukawat banti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (465).png
Views:	8
Size:	6.2 کلوبائٹ
ID:	12549408

    Pattern ki Pehchan k Rules

    1. Deliberation pattern k leye market me pehle se high prices area ya bullish trend ka hona zarori hai, q k ye pattern aik bearish trend reversal pattern hai.
    2. Pattern me teen white candles shamil hongi, aur har aik high-close honi chaheye (candles ki close price lazmi open price se ziada honi chaheye).
    3. Pattern ki 1st aur 2nd candle bari real body wali candles honi chaheye, jo current market ki mazboti zahir karti hai.
    4. Pattern me shamil 3rd candle ki real body small (spinning top candle) honi chaheye, baaz dafa ye candle 2nd candle se uper gap me bandi hai.


    Click image for larger version

Name:	images (464).png
Views:	24
Size:	1.5 کلوبائٹ
ID:	12549409

    Pattern ki Tafseel


    Deliberation pattern aik bearish reversal pattern hai, jo k teen white candles par mushtamil hota hai. Ye pattern "Three White Soldier Pattern" se candles ki real body me tadeeli ki waja se mukhtalif hai. Pattern me shmail 1st aur 2nd candles aik lambi real body wali white candles hoti hen, jo market me buying pressure dekhati hai. Pattern me shamil teeno white candles high pe close hoti hai. Pattern me banni wali 3rd candle aik small real body wali hoti hai aur aksar ye candle aik Spinning top candle hi hoti hai, jo k 2nd candle k high k sath close ho jati hai. 3rd candle qeematon k buying pressure ko khatam karti hai, jis se market ka agla trend reversal ho jata hai. Agar Spinning top candle 2nd candle se thore se gap me ban jaye to is candle ko "star" candle kaha jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (463).png
Views:	15
Size:	9.5 کلوبائٹ
ID:	12549410

    Pattern pe Trading ka Amal


    Deliberation pattern agar high price area ya bullish trend k baad banta hai, to yahan se qeematon ka reversal hone k chances bohut ziada barh (increase) jate hen. Deliberation pattern me 3rd candle k baad sell ki entry karni chaheye. Trend confirmation k leye 4rth candle ka intezar karna chaheye, agar wo bearish banne k baad 2nd aur 3rd candle k lower close hoti hai, to is se trend reversal ka amal mukamal hota hai. Stop loss ko white candle k sab se highest position pe put karen. Deliberation candlestick pattern prices k top par ya bullish trend main banne k baad prices ko teezi k sath downward ki taraf pressurized karti hai. Iss pattern main pehli aur dosri candles teesri candle ki nisbat real body main bari hoti hai. Pattern k aghaz main prices teezi k sath bullish move karti hai, lekin baad main buyers ki adam dilchaspi ki waja se pattern k top par aik Spinning top candle banti hai, jo k prices ko mazeed bullish jane se rokhti hai. Deliberation candlestick pattern teen bullish candles hone k bawajood bhi bearish trend reversal pattern hai, jiss par traders market main sell ki entry kar sakte hen. Pattern k baad confirmation candle ka hona zarori hai, jo k indicator se bhi asani se trend confirmation ki ja sakti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (462).png
Views:	32
Size:	8.9 کلوبائٹ
ID:	12549407

اب آن لائن

Working...
X