Bearish Thrusting Line Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Thrusting Line Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bearish Thrusting Line Candlestick Pattern


    Bearish thrusting line candlestick pattern price chart par banne wala aik two days ka bearish trend continuation pattern hai, jo k low price area ya bearish trend k dowran banta hai. Pattern ki pehli candle bearish jab k dosri candle aik bullish candle hoti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle se nechay gap main open hoti hai, aur candles k darmeyan main banne wala ye gap dosri candle ki real body se cover ho jata hai. Pattern ki dosri candle ka close price pehli candle k wast point se thora sa nechay hona chahiye, yanni dosri candle ka close point pehli candle k midpoint aur close price k center main hota hai. Pattern ki dono candles real body main lazmi honi chaheye, jab k candles k shadow ka hona ya na hona zarori nahi hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (523).png
Views:	20
Size:	9.6 کلوبائٹ
ID:	12549391

    Candles Formation


    Bearish thrusting line candlestick pattern k leye zarori hai, k prices ka bottom ya bearish trend main ho. Ye pattern newly breakout trend main ziada successful rehta hai. Bearish thrusting line candlestick pattern do mukhalif candles ka hota hai, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (3) (525).png
Views:	1
Size:	3.8 کلوبائٹ
ID:	12549392

    1. First Candle: Bearish thrusting line candlestick pattern ki pehli candle aik real body main bearish candle banti hai. Ye candle prices k top par ya high prices area main sellers ki dilchaspi dekhati hai, jo prices ko lower side par push karti hai. Ye candle black ya red color main hoti hai, jo k beal body k sath hoti hai.

    2. Second Candle: Bearish thrusting line candlestick pattern ki dosri candle bullish trend wali candle hoti hai, jo k pehli candle k closing price se nechay gap main open ho kar ussi ki real body main midpoint se thora sa nechay close hoti hai. Ye candle prices k trend ko badalne ki nakam koshash karti hai.

    Explanation

    Bearish thrusting line candlestick pattern two days candles ka trend continuation pattern hai, jiss main pehli candle aik normal bearish candle hoti hai, jo prices main bearish trend aur selling pressure zahir karti hai. Ye candle shadow samet ya shadow k bagher bhi ho sakti hai, jab k pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jo k pehli candle k nechay gap main open ho kar pehli candle k darmeyan se thora sa nechay close hoti hai. Ye candle market main buying control ko zahir karti hai, lekin low demand ki waja se ye prices k trend reversal karne main nakam rehti hai. Ye pattern dekhne main aur candles ki formation same piercing line candlestick pattern ki tarah hota hai, lekin ye pattern uss se iss waja se mukhtalef hota hai, q k aik to ye pattern bearish trend continuation k leye istemal hota hai, aur dosra iss pattern ki dosri candle pehli candle ki real body k darmeyan se thora sa nechay close hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (524).png
Views:	12
Size:	5.2 کلوبائٹ
ID:	12549393

    Trading

    Bearish thrusting line candlestick pattern prices k bottom par banne ki waja se market main buyers market main active hone aur trend reversal ki nakam koshash karte hen. Pattern ki dosri candle prices ko mazeed nechay jane se rokne ki koshash karti hai, lekin demand kam hone se aisa mumkin nahi ho pata hai. Pattern par trade enter karne se pehle aik confirmation candle ka hona zarori hai, jiss ka open price apne close price k ooper hona chaheye aur dosri candle k lower side par close honi chaheye. Lekin agar confirmation candle ki bullish candle banti hai, to ye pattern invalid ho jayega, jiss par trade entry nahi karni chaheye. Indicators par value lazmi mid-zone se nechay hona chaheye, jiss ki confirmation lazmi hai. Stop Loss pattern k sab se top position jo k pehli candle ka high ya open price banta hai, se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (234).jpeg
Views:	7
Size:	48.8 کلوبائٹ
ID:	12549390

اب آن لائن

Working...
X