Difference between Trailing Stop-loss and Stop loss.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Difference between Trailing Stop-loss and Stop loss.
    Member Forex trading me agar aap apne account ki safety ko maintain rakhna chahte Hain, to uske liye aapko hamesha safety precautions ko apne trading mein add karna hota hai.agar aap chahte hain ki aapke account ki safety maintain rhy to uske liye aapko profession trader ki responsibility nibhani hogi ek achcha trader hamesha apne account ko properly safety save manage karta hai is purpose ke liye stop loss aur trailing stop loss ko apne trading mein zuro include karna chahie. Jab aap forex market mein kam karte Hain to apna koi bhi order Jab aap place karte Hain to aap apne order ko successful banane ki puri effect karte hain. lekin unfortunately agar aapko orders loss mein chala jata hai to aapane account ko save rakhne ke liye stop loss aur trailing stop loss ka use karna bahut jyada important hai. isko apni trading may include karte hain to aap ko iski acchi advantage mil sakty hain.


    Explain the Trailing Stop- loss:

    Dear Trailing stop loss be ek stop loss ki tarah ek bahut hi acchi facility hai. ismein aapke pass yah benefit hota hai ki aap apne Stop loss ki limit k according to the the market situation change kar sakte hain. jaise hi market ki situation changed hoti hai aap uske Stop loss ko change kar sakte hain. simple word mein Stop loss ko apni trade ke open rahane k darmiyaan hi ek point se dusre point per shift karna trailing stop loss kehlata hai.


    Benefits of Trailing Stop-loss:


    Jab aap market mein entry lete hain,to market mein Jab aap ko acha profit mil raha hota hai to is condition mein agar aap apne stop-loss ki limit ko entry point per shift kar dete Hain,to is ka sabse bada benefit ya hota hai hai ki Jab aapko profit jyada mil raha hota hai to aap apne stoploss ki limit ko apni favour mein increase karte Hain, to is sy aapke account ki safety ko maintain karne ke sath apne profit Ko bhi jyada increase kar rahe hote Hain.


    Define the Stop-loss:


    Dear jb aap koi bhi trade open karte Hain, to usi time agar aap stop loss ka use karte hain. to uska sabse bada benefit ya hota hai ki agar market us price limit Tak a jaati hai to aapki trade automatically close Ho jaati hai. iska sabse bada benefit ya hota hai ki aapka big loss hone se bacha jata hai.

    Calculation of Stop-Loss:


    Dear stop loss ka use karne ke liye aapko hamesha apne analysis ki help lena hoti hai.kyn ki analysis ki base per hi aap yah decision lete hain ki iske kon si limit honi chahiy. jitna aapka analysis strong hoga utani hi strong aap Stop loss ka use kar sakengy.Stop loss ki calculation karne ke liye market volatility aur different level, support aur resistance level ki proper classification important role play karti hai.Conclusion of Trailing Stop -Loss and Stop-Loss:Jab aap Pakistan Forex mein kam kar rahe hote Hain to usmein aap ke account ko seve rahana bahut jyada hi important hota hai. isliye aapko chahie ki aap apne account ko maintain aur save rakhne ke liye apni training ke dauran Stopp loss aur take profit ka use zuro Karen. Is tarah aap achcha profit bhi hasil kar lety hain aur aapka account bhi wash nahin hota.
    Last edited by ; 03-08-2022, 03:47 PM.

اب آن لائن

Working...
X