Bearish Counterattack Line Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Counterattack Line Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bearish Counter attack Line Candlestick Pattern


    Bearish counter attack line candlestick pattern aik bearish trend reversal pattern hai, jo price chart par do candles se mel kar banta hai. Pattern main shamil pehli candles bullish hoti hai, issi waja se pattern k leye prices ka pehle se high area ya bullish trend main hona zarori hai. Two days candles ki accuracy single day pattern se behtar hota hai, q k iss main aik candle thori bohut confirmation bhi deti hai. Jab bhi market main buyers prices ko aik khas level tak ooper push karte hen, to yahan par trend reversal k imkanat ziada hote hen, ye trend confirmation aksar kuch pattern se confirm ho jati hai, jiss main bearish counter attack line pattern bhi shamil hai.

    Click image for larger version

Name:	counterattack-bear-1024.jpg
Views:	1
Size:	57.2 کلوبائٹ
ID:	12549166

    Candles Formation


    Bearish counter attack line candlestick pattern prices k uptrend ya higher par low demand ki waja se banta hai, jahan par trend reversal k ziada imkanat hote hen. Pattern main shamil candles mukhtalif pattern ki yanni bearish aur bullish hoti hen, jiss ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (3) (512).png
Views:	24
Size:	1.4 کلوبائٹ
ID:	12549167

    1. First Candle: Bearish counter attack line candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k prices ko uptrend ya bullish trend ki akasi karti hai. Ye candle bullish trend ko mazeed ooper ki taraf push karti hai, aur market main high demand ko zahir karti hai. Ye candle aik normal real body wali candle hoti hai.

    2. Second Candle: Bearish counter attack line candlestick pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k top par gap main open hoti hai, jab k close same ussi candle k close price par hoti hai. Issi tarah se dono candles k close aik dosre k same price par end hote hen. Ye candle bullish trend k khatme ka bahis banti hai.

    Explanation

    Bearish counter attack line candlestick pattern prices main bullish trend k dowran ban kar prices ko mazeed ooper jane se rok leti hai. Ye pattern aik strong trend reversal ka signal deti hai. Pattern two days candles par mushtamil hai, jiss ki pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jo k prices k bullish ya up trend ki alamat hoti hai. Pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, aur iss candle ka open price pehli candle se gap main hota hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k prices ko ooper jane se rokh deti hai, jiss se prices ka mazeed up-rise stop ho jata hai. Pattern ki dosri candle ka open pehli candle k close se top par gap main hota hai, jab k close pehli candle k same closing price par hota hai, jiss se dono candles ka close price in-line hota hai.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220726_163228.jpg
Views:	2
Size:	68.6 کلوبائٹ
ID:	12549165

    Trading

    Bearish counter attack line candlestick pattern prices k top main banne ki waja se aik bearish signal genrate karta hai, jiss par market main sell ki entry ki ja sakti hai. Pattern par trade enter karne se pattern ki dosri candle aik confirmation candle ki zarorat parti hai, jo k real body main aik bearish candle honi chaheye, aur dosri candle k bottom par close bhi honi chaheye. Pattern ki confirmation CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss ki value overbought zone main honi chaheye. Pattern k baad bullish candle se pattern invalid tasawar kia jayega. Pattern ka Stop Loss sab se higher ya dosri candle k open price se two pips above par set karen.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220730_121315.jpg
Views:	3
Size:	107.2 کلوبائٹ
ID:	12549164

اب آن لائن

Working...
X