Bullish or White Candlestick
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bullish or White Candlestick
    Bullish / white candlestick

    Bullish or white candles price chart par uss waqat banti hai, jab bhi aik time frame k dowran candles ki close price open price se ooper ya above hoti hai. Ye candle aam tawar par white ya green color se zahir ki jati hai, lekin ye zarori nahi hai. Bullish or white candles in the market main kisi assets par buying pressure ya uss waqat active kahreedaron ki taqat dekhati hai. Kisi assets ki prices main izzafay ko price chart par bullish ya white candles se zahir kia jata hai. Ye candles mukhtalif formate k ho sakte hen jiss ki apni apni value hoti hai.

    Ki Aksaam bull candles
    Price chart main banne wali bull candle ki kaye (mukhtalif) aqsaam ho sakti hen, yes k candle ki value ya taqat dekhati hai. Bull candle main real body aur shadow dono ho sakte hen aur ya ye shadow k bagher bhi ho sakti hai. Bull candles ki kuch aqsaam darjazzel hai:

    A normal bullish candlestick

    Normal bullish ya white candlestick price chart par aik bullish real body wali candle hoti hai, jiss k top aur bottom side par small si shadows hote hen. Ye candle market par buyers ka control dekhati hai, jiss main candle ka close price opening price se high hota hai. Lekin candle k high aur low price se candle ka open aur close kam hota hai.

    Bullish Marubozu candlestick

    Bull marubosu candle main aik time frame k dawran sting buyer bohut ziata active hote hen aur selling pressure kam hoti hai, do uss waqat ye candle banti hai. Iss candle main open aur low price same hota hai, jab k high aur close price same hot hen. Ye candle bagher upper ya lower shadow ki hoti hai. Kuch candles jiss k bottom side par shadow nahi hota lekin top side par aik small wicks ban jati hai to wo candle open marumozu candle hoti hai, jab k top side par shadow na hone par ye candle close marumozu candle ban jati hai, agar iss k underside par small wick banti hai to.

    Bullish Spinning Top Candlestick

    Bullish Spinning top candles small real body wali candles hoti hai, jiss k top ya downside par small shadow hote hen. Candle ki real body same white ya green color main hoti hai, sting k top aur bottom side ka shadow same length main hota hai. Ye candle prices k down ya up main aksar dosre candles k sath mel kar trend reversal ka kaam karti hai. Spinning top candle price chart par buyers ki aktiv main mamoli si dilchaspi dekhati hai.

    Bullish high wave candlestick

    Bullish high wave candles Spinning top ki tarah small real body main hoti hai lekin candle k top aur bottom side par long shadow banta hai. Ye candle bhi Spinning top candle ki tarah hososeyat rakhti hai, yes k price k top ya bottom main dosre candles k sath trend reversal ka sabab banti hai. Ye candle white ya green volor main hoti hai, jiss main buyer aur seller market main check hasil karne ki koshash kartw hen, lekin yahan par mamoli si jeet buyer ki hoti hai.

    Bullish Pin Bar Candlestick

    Bull pin Baar candlestick main aik small real body wali bull candles k top ya bottom par long shadow hota hai. Candle ka ye shadow taqreeban candle k dugne se bhi ziana hota hai. Pin baar candle prices k top ya bottom major trend reversal ka kaam karti hai, jab k ye aksar aik trend ya support ya resistance level bhi sabit hoti hai. Pin baar candle bhi buyer aur seller market k control k leye boj karte hen, lekin jeet mamoli si real body k sath buyer ki hoti hai

اب آن لائن

Working...
X