Important information about "Forex Trend Reversal Patterns"

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Important information about "Forex Trend Reversal Patterns"
    TREND REVERSAL PATTERN



    Reversal Patterns aik waqate maqarara k dowran trend tabdeel honi ka signal de raha hota hai. Reversal ka matlab hai trend k "semat ki tabdeeli " aur pattern ka matlab howa chart ki formation. Isi tarah reversal pattern chart ki mukhtalif shaklen hen jo market ki maojoda trend k semat me tabdeeli ki nishan-dahi karti hai. Ye patterns hourly, daily, weekly ya monthly charts pe dekhen ja sakte hen. Technical patterns tamam time frame pe lago hote hen.
    Reversal Patterns kisi bhi semat me ho sakti hai, yani uper se nechay (bearish ya downward) aur nechay se uper (bullish ya upward). Patterns dono soraton me chart par aik khas shakal ikhteyar kar lete hen, jis se traders k kamyab hone ka imkan zyada hota hai.
    Reversal patterns banne me waqat lagta hai, jaisa k aam tawar natural reversal cheezon ka hota hai. Trend jab bhi aik khas semat me chal raha hota hai, to is k rukne ya wapis ane me waqat zaror lagta hai. Traders ko market me pehle se chal rahe trend k kam se kam qeemat ko bhi dekhna chaheye aur ziada se ziada qeematon ko bhi. Kam se kam qeemat market k bearish qeematon k leye aur ziada se ziada market k top qeematon ko samajhne k leye.
    Traders ko hamesha market me khareed-wa-ferokht chart pattern ki karkardagi ki bunyad pe karna chaheye, jab k security se jazbati tawar par munsalik hone se ijtenab karna chaheye.
    Market me aam tawar par wajood me ane wale kuch reversal patterns me head and shoulders pattern, inverted head and shoulders pattern, double bottom pattern, double top pattern, basing formations aur broadening formations waghera shamil hen.

    Click image for larger version

Name:	images (400).png
Views:	4
Size:	23.3 کلوبائٹ
ID:	12548676

    Reversal Pattern ki Aam Khususiyat



    Wo chand aham points jo k tamam reversal patterns mein moshtaraka taur per paye jaate hen, darja-zel hen;

    Peshgi trend (Prior Trend) ka wajud


    Kaye baar chart par aik aisa pattern mel sakta hai jo aik reversal pattern se melta julta hai. Lekin agar is tarah k pattern se pehle koi bara jari trend nahi tha to ye pattern mashkok ho jata hai. Aik aham trend line ka totna aksar ane wale trend k reversal jane ka pehla signal hota hai.
    Barhti howi (up-trend) trend line ki khilaf warzi rujhan ki semat ko tabdeel karne aur sideways ya nechay ki taraf jane ki imkan ki nishan-dahi karti hai.
    Gerti howi (down-trend) trend line ki khilaf-warzi rujhan ki semat ko dabdeel karne aur sideways ya uper ki taraf jane ka imkan ki nishan-dahi karti hai.

    Pattern ki Lambai aur Chaudai ki Ahmeyat



    Reversal Patterns ki lambaye aur churaye jitni ziada hogi, pattern se breakout k bad natija utna hi ziada taqatwar hoga.

    Topping aur Bottoming Patterns



    Topping Patterns



    Topping patterns uper (top) ki tashkeel ki nishan-dahi karte hen. In patterns ki takmeel par qeemat nechay ki taraf jane ki tawaqa kar sakte hen. Topping patterns ka duraneya aam tawar par chota hota hai aur in patterns me qeematon ki tabdeeli bohut teezi se aur mutehkam hoti hai.

    Bottoming Patterns



    Dosri taraf bottom pattern nechay ki taraf jane ki nishan-dahi karte hen, aur in patterns k banne k bad qeematen uper jane ki tawaqa kar sakte hen. Bottom pattern aam tawar par topping patterns k muqabele me ziada waqat lete hen, aur qeematen aik choti range me barhti hai.

    Volume



    Agar bottoming pattern se qeemat ka breakout ausat volume k sath ziada nahi hai, to is k ghalat breakout hone k imkan ko kafi ziada samajhna chaheye.
    Lekin topping breakdown k sath volume ziada aham nahi hai. Q k aisi bohut sari misalen maojod hen jahan market ne bare volume k bagher semat ko tabdeel kar deya hai.

اب آن لائن

Working...
X