Complete details about Envelopes indicators.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Complete details about Envelopes indicators.
    Agar daikha jay to ye technical indicators jo price chart bars k around ooper aur neechay bands par plotted hotay hain in channels kehtay hain, ye simple moving average sa generate hotay hain aur moving average k above aur below aik pre-determined distance say show hotay hain, envelopes traders aur investors ko extreme overbought aur oversold conditions k sath sath trading ranges ko identify karnay ma help provide kartay hain, is main jab prices upper bands ko cross karti hain ya us k kareeb hoti hain to sell signals generate hotay hain aur jab prices lower band ko cross karti hain ya us k kareeb hoti hain to buy signals generate hotay hain.



    Envelopes indicators trading strategy:



    Envelopes indicators trading strategies Kay hisab say is me upper aur neechay bands k darmian distance calculate karnay k liay higher aur lower moving average k percentage variables ko use kia jata ha jin ki value 2%, 5% aur 10% hoti hain. Envelope channels ki number of deviations bollinger bands ya keltner channels k kafi similar hoti hain, in channels ko different techniques k sath create kia jata ha, market ki normal conditions ma prices upper aur lower bands k darmian ma rehti hain,

    jab k market ki volatility ki conditions in envelope k bands k darmian gap narrow ya wide ho k information daitay hain, traders ko breakouts aur breakdown main envelope channels say help laini chaiay q k in k use say trades ki reliabilty aur profability k best chances hotay hain.


    Signals Generation:



    Forex market main trading kartay huway Jb market ki current price upper bands ko ponch jati hai to is ka trader ko ye signal milta hai k is time par sell signal generate karna chahe. Isy tarha jab market lower band k pass ponch jati hai to trader ko buy ki trade open karny ka signal milta hai.
    Jo trader forex main indicator ki help say trade ko open karta hai to usko iska bhot benefit hota hai. Jo trader bina sochy samjy trade ko open karty hain wo aksar account wash karwa lety hen.
    Agar traders market chart pay aik achay aur trusted indicator ko follow kartay huywa trades pick kartay hain to mairay khayal say traders maket say acha benefit hasil kar saktay hain.



    Click image for larger version

Name:	ind.png
Views:	1
Size:	582.7 کلوبائٹ
ID:	12548085


    Shukrya.

اب آن لائن

Working...
X