What is divergence? Discuss its types?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is divergence? Discuss its types?
    Aslam u alaikum,

    Dear forex member umeed karta hun aap sab khairiyat se honge dear members forex market mein hamen divergences ke about achcha idea hona chahie hamen pata hona chahie ki divergence kya chij hoti hai isliye divergence us waqt Hoti hai jab asset ki price technical indicator se opposite direction mein move karti hai divergence ye warns karti hai ki current price ka ka trend change ho sakta hai aur kuch dafa price change ho jati ha


    positive divergence:
    Dear friend positive divergence hamen yah indicate karta hai ki asset ki price mein izafa mumkin hai. positive divergence ki price jald hi increase hona start Ho jaati hai ya use waqt hota hai jab price low ho rahi ho aur technical indicator higher ho raha ho ya bullish signal show kar raha ho.
    Negative Divergence:
    Dear friend negative divergence indicate karta hai ki asset ki price mein movement lower hoti hai. negative divergence ki price future mein low hona shuru Ho jaati hai yah use waqt hota hai jab price increase ho rahi hoti hai lekin technical indicator low ho raha ho ya bearish signal de raha ho.
    kisi asset ki price kisi technical ya fundamental indicator ke darmiyaan difference ko show karti hai


    What does divergence tell you ?
    dear friend technical analysis mein divergence 1 important positive and negative price ki movement ko show karta hai positive divergence us waqt hota hai jab kisi asset ki price low Ho jaati hai jab ke flow of money high Ho jaati hai aur negative divergence us waqt hota hai jab asset ki price high Ho jaati hai jab ke indicator lower high bna deta ha.
    Types of divergence:
    There are different three types of divergence
    • Regular divergence
    • Extended divergence
    • Hidden divergence


    1. Regular divergence:
    dear friend regular divergence mein hamen main reversal trend ko dekhne mein helpfull hota hai ya short sell aur long buy ke liye achcha signal hai agar divergence bearish hoga to chart wali price downward move karegi use waqt forex trader ko sell lagane ke liye taiyar rahana chahie aur jab bullish divergence hoti hai use waqt trader ko buy ki liye taiyar rahana chahie.
    Regular Bearish divergence:
    Market main bearish divergence ko identify karne ke liye trading ko high price aur indicator ko dekhna chahie bearish divergence use waqt Hoti hai jab kuchh condition milenge price chart per ek high peak hona chahie indicator ko lower high show karna chahie.
    Regular bullish divergence:
    forex market mein main bullish divergence ko determine karne ke liye hamen indicator ke sath sath chart ki lower side per bhi attension hona chahie agar market regular bullish divergence mein hai to candlestick lower banegi.

    2. Extended divergence:
    Forex market men extended divergence you usually classic divergence se milta julta hota hai lekin extended divergence mein price ek aisa namuna banati hai hai jo kareeb se double niche ya double top se milta julta hota hai.
    Extended bearish divergence:
    extended bearish divergence ko determine karne ke liye trader ko na sirf chart ko balke indicator ko bhi e dekhne ki jarurat hoti hai agar chart per bhrra hua extended bearish divergence hai to iska matlab sirf ek chij ho sakti hai price loge aati rahengi isliye hamen sell ke mauke ki jarurat hogi.
    Extended bullish divergence:
    extended bullish divergence ko recognise karne ke liye candle ke lower side per attention aur indicator per bhi Puri attention honi chahie agar chat extended bullish divergence indicator per bhi Puri attention honi chahie agar chat extended bullish divergence ko show kry to hmen chaheye ky buy kren.

    3. Hidden divergence:
    Forex market mein hidden divergence trend ky continuation ke about inform karta hai iske alava hidden divergence hamen market mein sell ya buy ky clear signal deta hai.
    Hidden bearish divergence:
    forex market men hidden bearish divergence ko dekhny ky liye candle ki peaks ya highs price ky sath sath indicator ky ko bhe recognize krna prrta ha agar indicator se hamen divergence ka pata chal jaaye to future mein downward movement ho sakti hai.
    Hidden Bullish divergence:
    hmen hidden bullish divergence ka pata lagane ke liye ye jaruri hai ki hamen chart ke sath sath indicator per bhi hamari Puri attention honi chahie hidden bullish divergence is waqt Hoti hai jab market award ja rahi hoti hai.
    Ap Ka aik thanks bohat zrori ha

اب آن لائن

Working...
X