MACD Indicator
Moving average convergence divergence (MACD) indicator ko Gerald Appel ne long term trend ki strength k pemayesh k leye takhleeq kia tha. MACD indicator ki calculation me 26-EMA (26-peroids) ko 12-EMA (12-peroids) se manfi karne se ki jati hai. MACD indicator mukhtalif time period me do (two) mukhtalif exponencial moving averages (EMA) k darmeyan faraq ko as a input istemal karta hai. MACD me exponencial moving averages k istemal ki waja se is ki output ziada payedar hoti hai, q k exponencial moving averages (EMA) ki calculation simple moving averages (SMA) se ziada behtar hoti hai.
MACD indicator aik sust-raftar oscillator hai, is ko trend ki confirmation aur trend k strength k leye ziada maozo (best) hai. Trades k entry k leye dosre indicators shayed ziada best hon.
MACD Indicator Trend Calculation aur Crossover
Khas tawar par, MACD indicator do moving averages k darmeyan shumar-shuda (calculated) faraq hai, aur aksar is ko base line k tawar par zero vlaue k sath histogram k tawar par dekhaya jata hai. Albata MACD indicator k value ko lines k tawar par ya us ka majmoa dekha ja sakta hai.
MACD indicator sab se sust (slow) indicator hai. Kuch traders kisi bhi line crossover ko as a signal dekhte hen aur market me buy ya sell ki entry karte hen, lekin trend traders hamesha trend line crossover ko zero k ubor hone ka intezar karte hen.
Wo traders jo signal ki aur confirmation ka intezar karte hen wo zero line k zarye histogram k crossover ko trading signal samajhte hen. Taham kuch traders moving averages k lines ko jab histogram k direction me dekhte hen, ye histogram k crossover ko zero pe, to wo market me entry karte hen.
Jab bhi MACD indicator ki 12-EMA line 26-EMA line k uper gurazarti hai to ye musbat value ya bullish trend ka signal de rahi hoti hai. Lekin agar 12-EMA line 26-EMA line k nechay se cross karti hai to ye negative value ya bearish signal genrate karta hai.
MACD indicator jitna ziada apne base line se ziada door ( above ya below) hoga, to utna hi dono EMAs k darmeyan faisla barta jayega.
False signal ko rokhne k leye zarori hai k trend crossover pe direct buy ya sell ki entry na karen, MACD indicator ka istemal dosre indicator jese RSI indicator k sath kia jana chaheye, is se false signal me kami ati hai. Signal conffirmation k leyey price action ka intezar karen aur candles ka baghawar mutalea karren. Jitna hum market me late entry karengy utna hi ye indicator humen faida dega.