"BLOW OFF TOP" in FOREX TRADING
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    "BLOW OFF TOP" in FOREX TRADING
    Introduction:-

    Forex trading mn ksi pair ki rapid ya sudden increase k bad dobara usi trah decrease hony ko blow off top pattern khty hain. Isko hm different charts mn technical analysis k liye indicator k tor par use kar sktay hain ya is sa market ki price ya trend ko predict kar sakty hain. Ye short terms mn possible hota ha aur aik takreeban aik din mn hi prices top par ponch kar down ho jati hain, blow off tamam pairs ma ho sakta ha chahay wo commodities hon ya currencies, blow off ki ye rally news par base karti hain.

    EXPLANATION:-

    Market mn blow off top ki condition us waqt paida hoti hai jab ky ksi bhi pair ya commodity mein marketing ky doran ek Achanak Price increase dekha jata hai air market bhut kam time frame mein hi bhut rapid upwards movement show karny lagti hai. Is trha movement karny ky bad market ek High top ki formation dikhati hai. Is trha is top par pohnchty hi market dobara se downwards movement start kar deti hai.​Iski downward movement bhi fast hoti hai aur jis trha yeh up jany mein kam time lagati hai isi tarha downward movement bhi fast krti hai aur market at the end ussi point ko touch karti hai jahan se is mein price ka upward trend shuru howa tha.

    TRADING:-

    Market mein jab ap regular analysis kar rhy hoty hain to aap market mein rapid aur steep upwards movement ko dekhty hain.​Jab market yeh movement show kar rhi hoti hai aur Bullish Trend mein ja rhi hoti hai to aap is mein Buying ki trade enter kar skty hain. Aur is fast movement ky doran aap ko bhut profit gain ho skta hai.​Kyn ky is time makret ki volatility high hoti hai. Aur yeh aapko bhut short period mein bhut profit de skti hai.

اب آن لائن

Working...
X