Bearish Pin Bar Candlestick

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Pin Bar Candlestick
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bearish Pin Bar Candlestick


    Bearish pin bar candlestick kisi bhi range ki single session candlestick, jo aik up-trend ke bilkul oopar zahir hota hai. Ye candle prices k top par aik strong resistance level banati hai, jiss k baad market main bears active hona shoro ho jate hen. Ye candle trend reversal ki nishan-dahi karta hai, candle k real body k upper shadow aik ishara hai, keh buyers ne prices ko ooper le jane ki koshish ki, lekin din k ikhtetam k baad wo nakaam ho jate hen. Kuch chartists ke mutabiq, bearish pin bar ko pechle session ke ekhtataam ke waqfay ke sath bhi paish kya jana chahiye. Bearish pin bar ka oopri saya is ke real body ki lambai se kam az kam dugna hona chahiye.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20220722_231437.jpg
Views:	1
Size:	17.6 کلوبائٹ
ID:	12547430

    Candles Formation


    Bearish pin bar candlestick dekhen main dosre candles jaisi dekhaye deti hai, lekin prices k top par ya bullish trend main banne ki waja se aik strong bearish trend reversal ka kaam karti hai. Candle prices ko upper side par reject karti hai, jiss se maojoda trend badal jata hai. Ye aik single candle pattern hai, jiss ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (2) (165).jpeg
Views:	5
Size:	12.5 کلوبائٹ
ID:	12547431

    Bearish Pin Bar Candle: Bearish pin bar candlestick aik small real body wali candle hai, jiss k upper side par aik long shadow hota hai. Candle ka shadow candle k real body ka dungna ya uss se bhi ziada hota hai. Jab k candle k lower side par koi shadow nahi hona chaheye, lekin agara banta bhi hai, to bohut ziada large size main nahi hona chaheye, jiss se candle ki formate tabdeel hone ka hadsha ho.

    Explanation

    Bearish pin bar candlestick aik small real body wali single candle pattern hai, jo k upper side par aik lamba shadow ya saya rakhti hai. Candle ka saya hamesha candle ki real body se ziada hoti hai. Candle k baane ki pechay ki psychology kuch yon hoti hai, k jab bhi aik session ya aik din k dowran prices pehle upward movement karne k baad wapis apne open price k qareeb a kar close ho jati hai, jiss se candle k upper side par aik lamba shadow ya saya ban jata hai. Ye candle normal price chart par ziada moasar sabit nahi hoti hai, lekin candle ka trend k top par high price area main banne par bearish trend reversal ka kaam karti hai.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20220722_231419.png
Views:	1
Size:	5.1 کلوبائٹ
ID:	12547432

    Trading

    Bearish pin bar trading main sell ka signal genrate karti hai, jiss par market main confirmation k baad entry ki ja sakti hai. Candle ka long timeframe main hona zarori hai, jab k confirmation candle ak lazmi bearish real body main hona chaheye, jab k sath sath bearish candle ka bearish pin bar candle k lower par bhi close honi chaheye. Ye single candle pattern hone ki waja se indicator se bhi trend confirmation lena zarori hai, jaise RSI, MACD, CCI indicator aur stochastic oscillator par value overbought zone main hona chaheye. Candle k baad bullish candle banne ki sorat main trade entry nahi karni chaheye. Candle par Stop Loss sab se top position ya candle k high price jo k trend k leye resistance zone banta hai, se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (339).png
Views:	4
Size:	23.1 کلوبائٹ
ID:	12547429

اب آن لائن

Working...
X