High Wave Candlestick
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    High Wave Candlestick
    Assalamu Alaikum Dosto!


    High Wave Candlestick


    Single candles pattern jiss main buyers aur sellers ka market main control aksar barabar rehta hai, aik neutral candles tasawar ki jati hai. High wave candle bhi market main buyers aur sellers ki yaksan hone par wajood main ati hai. High wave candle ki ooper aur nechay long shadow ya wick hota hai, jiss ka darmeyan main aik small si real body hoti hai, jiss main prices ka open aur close aik dosre k qareeb hota hai. Ye aik neutral candle shumar hoti hai, jo k aik strong trend k dowran trend reversal ka signal de sakti hai. High wave candle k ooper aur nechay shadow aik to size main equal hona chaheye aur dosra ya length main long hona chaheye, q k small shadow hone par ye Spinning top candle ban sakti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (328).png
Views:	16
Size:	2.7 کلوبائٹ
ID:	12547405

    Candles Formation


    High wave candle prices k top aur bottom dono main ban sakti hai. Sideways markets main ye candle aik neutral candle hoti hai, jo k prices k ziada tar maojoda trend main continuation ka sabab banti hai. Price chart par High wave candle ki formation darjazzel tarah se ho sakti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (3) (329).png
Views:	12
Size:	2.9 کلوبائٹ
ID:	12547406

    High Wave Candle: High wave candle chart pattern par aksar market main aik small si candle nazar ati hai, jiss ka ooper aur nechay aik lamba shadow hota hai. Ye candle small real body ki hoti hai, jiss main prices ka open aur close aik dosre k qareeb hota hai. Ye candle bullish aur bearish dono tarah se market ki position k mutabiq apna situation tabdeel karti hai.

    Explanation

    High wave candle aik single day small candle hai, jiss main prices din k aghaz main open hone k baad aik small real body main up ya down close hoti hai. Price chart par buyers aur sellers market main same quat (power) main hote hen, ya un ki assets main dilchaspi kam hoti hai, jiss se prices aik timeframe k dowran ooper aur nechay jane ka baad wapis apne aghaz wali position k qareeb close ho jati hai. Ye aik small real body wali bullish ya bearish candle hoti hai, jo k trend k mutabiq apni hodohal ko tabdeel karti hai. Ye candle prices k top ya bottom par strong trend reversal ka sabab banti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (331).png
Views:	7
Size:	8.2 کلوبائٹ
ID:	12547404

    Trading

    High wave candle sideways market main ya newly breakout trend main trend continuation ka kaam karti hai, jab k price k top ya bottom main ye candle aksar trend reversal ka kaam karti hai. Ye candle prices k bottom main bullish trend reversal aur prices k top par bearish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Candle k baad trend ki confirmation ka candle ka hona zarori hai jo k real body main hona chaheye. Ye single candle pattern hone ki waja se trend ki confirmation CCI indicator ya stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss main value overbought aur oversold zone main honi chaheye. Stop Loss candle k sab se top ya bottom se trend reversal k mutabiq two pips below ya above set kia ja sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (332).png
Views:	15
Size:	11.7 کلوبائٹ
ID:	12547403

اب آن لائن

Working...
X