Stochastic Oscillator Indicator k bare me Zarori Information
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Stochastic Oscillator Indicator k bare me Zarori Information
    Stochastic Oscillator


    Introduction


    Stochastic oscillator aik aham tool hai, jis ko technical analysis me leading indicator k tawar par istemal kia jata hai. Ye qeematon k overbought aur over-sold zone, signals divergences aur short term trend ka long term trend k sath comparison k bare me tareeqay kar faraham karta hai. Stochastic indicator aik makhsos waqat k dowran latest closing qeemat ko price action k total range k sath comparison karta hai.
    Stochastic indicator ki value 0 aur 100 k darmeyan hoti hai. Indicator k high-stochastic k matlab hai k muntakhib waqat k dowran qeemat k upper range k qareeb hai. Jab k low-stochastic me qeemat peroid k low range k qareeb hoti hai. Jab bhi qeematen bullish jati hai to stochastic oscillator k lines bhi upward rang k qareeb hai, aur qeematon k lower jane par lines lower range k qareeb hoti jati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (278).png
Views:	11
Size:	3.8 کلوبائٹ
ID:	12547311

    Stochastic Oscillator Calculation


    Stochastics Oscillator me do lines %K aur %D lines par mushtamil hota hai. %K line ko "raw stochastic" ya fast %K, bhi kaha jata hai, jo k bohut ziada sensitive hpti hai. %K line ka formula kuch is tarah se banega;

    [B](Close) - (Low of N) / (High of N) - (Low of N) × 100 = %K

    Close = current close
    Low of N = low of the range during the period used
    High of N = high of the range during the period used[/
    B]

    Mandar-bala formula me "100" value ko percentage me badal deta hai. Agar aaj ki close price period k high k barbar hai to fast %K "100" hoga. Yahan par period se murad koi bhi timeframe jaise Day, week yahan tak k intraday (jaise pe ghanta) bhi ho sakti hai. 19,14 aur 21 aam peroid ya ziada istemal hone wale periods hen.
    Fast %K line bohut zyada volitile hoti hai, is waja se is ko smooth karne k leye "%K" k value k last three moving averages ko hi leya jata hai, in teen %K k moving averages ko Slow %K kaha jata hai. Ziada tar traders Slow %K line ko Fast %K line par tarjeeh dete hen.
    Slow %K k moving average ko mazeed smooth banane k leye is ka 3-day moving average leya jata hai, jis ko %D line kaha jata hai. Yani %D line further moving average ka aik moving average hota hai. %K line aur %D line me faraq maloom karne k leye in dono lines ko baghawar dekhne k baad, jo line long term trend ki information de wo %D line hogi, jab k short term trend wali line %K ki moving average hogi.

    Click image for larger version

Name:	images (154).jpeg
Views:	26
Size:	33.7 کلوبائٹ
ID:	12547312

    Trading on Stochastic Indicator


    Ziada tar traders stochastic indicator ko overbought aur over-sold zone me banne wale divergence k trading k leye istemal karte hen. Lekin stochastic oscillator ko dosre tareeqon k mutabiq bhi trading k keye istemal kia ja sakta hai.
    Kuch analyst k mutabiq jab bhi %K line %D ko nechay se cross karti hai, to ye sell signal hoga, aur agar %K line %D line se upper chali jati hai, to ye buy ka signal hoga. Ye trading strategy same do moving averages k cross over technique jaisa hi hai.
    Aik dosra tareeqay kar ye bhi hai k jab bhi %D line 25% ya us se nechay jaye aur %K line bhi %D se upper ho to ye buy ka signal hoga. Lekin us k bar-aks agar %D line 75% ya us se ziada ho aur %K line %D line se nechay ho to ye sell ka signal hoga.

    Click image for larger version

Name:	01-Stochastic-Oscillator-Settings.png
Views:	1
Size:	71.9 کلوبائٹ
ID:	12547313

اب آن لائن

Working...
X