Forex trading k Charts Patterns
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex trading k Charts Patterns
    Chart Pattern


    Kisi khas securities ki demand aur supply k darmeyan jang ki jhalak market me price chart pattern ya formation k tawar par zahir hoti hai. Chart pattern ko agar sahi tareeqay se parha jaye to aik taruba-kar trader is ko apne faide k leye istemal kar sakta hai. Chart pattern market me bulls aur bears signals ki nishani hote hen.
    Charts patterns ka tajzeya (analysis) support, resistance aur trend line ko dekh kar kia ja sakta hai. Taqreeban sare traders trend ki shanakhat k leye trend line ka istemal karte hen. Is waja se financial market ki ye kahawat bhi mashahor hai k "trend is your friend". Is k mutabiq trader chart patterns ka tajzeya kar ke trend ko jald pehchanne ki koshash karte hen.

    Click image for larger version

Name:	images (249).png
Views:	7
Size:	39.3 کلوبائٹ
ID:	12545443

    Chart patterns ki aam tawar par teen tarah ki darja-bandi ki jati hai:

    (i) Reversal patterns
    (ii) Tasalsul (Consolidation ya continuation) patterns
    (iii) Trend patterns


    (i) Reversal Patterns



    Ye wo patterns hai jo bullish market me qareeb-tareen top aur bearish market me bottom dekhate hen aur trade k volum ko bhi made-nazar rakh kar analysis ki jati hai. Kuch mashahoor reversal patterns me head and shoulders pattern, rounded bottom / top pattern, double bottom / top pattern, wedge top, diamond reversal pattern, waghera shamil hen.


    (ii) Tasalsul (Consolidation ya continuation) patterns



    Ye patterns bullish aur bearish market k darmeyan hone wale gher faisala-kun movement ka ishara dete hen. Ye patterns market ki me aarzi (temporary) waqfay, qeematon k barhne ya kam hone ki nishan-dahi karti hai. Is dowran aam tawar par kam volume ki trading hoti hai. Kuch aam istemal hone wale tasalsul (continuation) patterns me symmetrical triangles, ascending and descending triangles, wedges, flags and pennants, rectangles, waghera shamil hen.

    (iii) Trend Patterns



    Trend patterns support aur resistance areas ki nishan-dahi karte hen. Trend patterns ka wese to istemal dosre patterns k muqabele me bohut kam hai. Market me aam tawar par istemal hone wale trend patterns me fan lines, gaps, trend lines aur channels shamil hen.

    Chart Patterns ki Importance



    Kuch chart patterns bohut ziada successful hote hen. Chart pattern market ki kisi stock ki qeematon ki support, resistance ya is ki mazboti ya kamzori k leye bohut ziada zarori hen. Chart pattern traders ko market ki semat ka taayun karne aur un k entry aur exit ka waqat muqarrar karne me bhi madad karte hen. Traders ko chart patterns ka sahi knowledge aur experience honna chaheye. Ye aik trader k leye aik qisam ki maps ka kirdar adda karti hai, jis se wo apne hadaf tak ka rasta malom kar sakta hai. Agar trader chart patterns ko sahi tareeqay se parh sakta ho, to ye us ko kamyabi ka rasta zaror dekha saktta hai. Chart patterns humen market ki khareedo-ferokht ki asal tasveer dekhati hai.

اب آن لائن

Working...
X