Forex Lot Sizes ki Tafseel

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Lot Sizes ki Tafseel
    Lot Size In Forex Trading


    Forex trading me "Lot" aik standard ikaye hai, jo k trader k open position k volum ki measurment k leye istemal hota hai. Lot size ki calculation risk management system k zarye se kia jata hai. Forex trading me aik behtar trading system banane k leye lot size k bare me knowledge rakhna bohut zarori hai. Lots ka taluq direct hujam k sath hota hai, aur hujam ko lots me hi measure kia jata hai. Lot size hamesha risk level ko mutasir karta hai. Forex trading me lot size ka volum jitna ziada hoga to risk bhi us k hisab se ziada hoga. Risk management me aik model shamil hota hai, jo trader ko forex trading market me risk level, utaar-charo (stop-loss aur take profit) aur leverage ki bunyad par standard lot ki ziada se ziada miqdar ka hisab lagane ki ijazat deta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (144).jpeg
Views:	1
Size:	39.5 کلوبائٹ
ID:	12545409

    Forex trading me aik standard lot 100,000 base currency units par mushtamil hota hai. For example, agar EURUSD currency jore ka current rate 1.1845 ho, to aap ko 1 lot position open karne k leye 118,450 base currency units chaheye hongay. Is ka matlab hai k aap ko 100,000 euros chaheye hongay 118,450 US dollars buy karne k leye.
    Base currency wo currency hoti hai jo dosri currency k leye buy ya sell ki jati hai. Ye hamesha quote currency se pehli ati hai. Yani aik currency jore ki pehli currency "Base currency" aur dosri currency "Quote currency" hoti hai.
    For Example: Agar GBPUSD currency jore 0.01 lot se trade karna ho, aur jore ki current rate 1.30455 ho, to aap ko 1304.55 dollars chaheye hongay 1000 GBP khareedne k leye.
    Isi tarah se EURAUD currency jore pe agar 0.01 lot se trade karna ho aur jore ka current rate 1.60635 ho, to aap ko 1606.35 AUD required hongay 1000 EUR khareedne k leye.
    1 Standard lot size k base currency k 100,000 units ki value dosre mutaleqa (quote) currency hote hen. Dosre stocks jaise metal, energy waghera k leye units badal jate hen, jaise gold ko Once me measure kia jata hai, jab k oil ko barrel me.

    Standard Lot Size

    Standard lot size aik broker k trading k leye faraham karda sab se ziada mumkina muahede ka size hai. Standard lot size me 100,000 units hote hen. Yani agar EURUSD ka current rate 1.23456 ho to 1 standard lot size k mutabiq 100,000 EUR khareedne k leye 123456 USD ki zarorat paregi. Standard lot size ko mazeed chote sizes me taqseem kia jata hai, jo k mini, micro aur nano lot size ban jate hen. Forex trading me sab se ziada 100 standard lot size tak hi aik trade open ki ja sakti hai.
    Maximum lot aik transaction k leye lots ki maximum tadad hai,
    Misal k tawar par, 5 standard lots 5 × 10 = 50 oil barrel jab k 5 mini lot 5 × 1 = 5 oil barrel hongay.

    Mini Lot Size


    Aik mini lot (minilot) standard lot k 0.1 ya 10,000 base currency unit hote hen. Mini lot size standard lot k 10% k barabar hota hai, jis me traders 10,000 base currency units ki trading karte hen, is waja se is k leye kam volume ki zarorat hoti hai.


    Micro Lot Size


    Aik micro lot size (microlot) me standard lot k 0.01 ya 1,000 base currency units hote hen. Micro lot size mini lot size ka 10% jab k standard lot size ka 1% banta hai. Is me trader 1,000 base currency units me trading kar sakta hai,is waja se is k leye mini lot se bhi kam volum ki zarorat hoti hai.

    Nano Lot Size


    Aik nano lot size (nanolot) me standard lot k 0.001 ya 100 base currency units hote hen. Nano lot size micro lot size ka 10%, mini lot size ka 1% jab k standard lot size ka 0.1% banta hai. Ye sab se small lot size hai, is waja se is k leye sab se ziada kam sarmaye ki zarorat hoti hai. Nano lot size me 100 base currency units me trade ki ja sakti hai.

    Note: Nano lot size ko aam trading account ya standard trading account me muhaya nahi kia jata. Is k leye alehda se cent account banaye jate hen.

اب آن لائن

Working...
X