Financial Market me Candlestick Charting ki Ahmeyat
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Financial Market me Candlestick Charting ki Ahmeyat
    Financial Market me Candlestick Charting ki Ahmeyat


    Aajkal, financial markets ya forex trading me kaam karne wale ziada tar traders aur technical analyst candlestick chart pattern se bakhubi waqif hen. Lekin bohut sare technical analyst is baat se pur-aitemad nahi hai, k candlestick ki analysis se paye jane wale darjano indicators ki wazahat kesi ki jaye ya trend reversal aur continuation ki peshangoy (forecast) ki tasdeeq k leye degar indicators k sath candlesticks ka istemal kese ki jaye. Is ki waja se traders me aik mustaqil (consistent), qabele-aitemad (reliable) aur taqatwar nizam (powerful system) ki khwahish peda howi, jo unhen ziada se ziada behtar malomat faraham karta hai.
    Traders me ziada aur behtar malomat k khwahish k tawar par aur candlesticks ki madad se qeematon ki movement ko behtar tareeqay se observed karne ki waja se is ka istemal bohut ziada ahmeyat hasil karne laga hai.

    Click image for larger version

Name:	images (244).png
Views:	7
Size:	19.8 کلوبائٹ
ID:	12545293

    Candlestick Charting ki Ahmeyat


    Fori Shanakht (Instant recognition):

    Candlesticks charting ko aik nazar me pehchanna, is ki sab se bari ahmeyat hai. Qeematon ka upward ya downward movement karna na sirf trend se maloom ki jati hai, bulkeh is ko candles ki colors se bhi pehchana ja sakta hai. Market momentum ki mazeed strongness ya weakness ko candles ki hights, trading range ki volitilety aur specially bare ya chote sessions k douran nazar ata hai.

    Qabele-qadar Tasdeeq (valuable confirmation):

    Technical analyst jante hen k kisi bhi ahmeyat k indicators (misal k tawar par; breakout aur aik naye trading range, resistance aur support testing, gaping action) me entry ya exit karne se pehle tasdeeq karna zarori hai. Lekin ye tasdeeq kis tarah ki jati hai, ye traders par munhasir hai, q k baaz awqat traders aik aham aur zarori point se pehle hi trades ki entry kar jate hen? Traders k leye is ka jawab candlesticks me hota hai. Qeematon ki movement ka andaza lagane ki bajaye har trader ko charting patterns aur indicators ki tasdeeq k leye candlesticks ko follow karna chaheye, q k is k istemal se market me entry aur exit k timing ko behtar banane me madad melti hai.

    Mukhtalif Qisam k Candlestick Indicators (Variety of candlesticks indications):

    Candlestick pattern ki indicators bohut zyada hen aur har aik ka apna aik makhsos naam aur kaam (formula base pe) hai. Candlestick session k mutabiq mukhtalif ho sakta hai. Session ka duraneya (duration) seconds ya minutes se lekar ghanton, deno, ya hata k hafton tak mukhtalif ho sakta hai. Candlestick indicators k mushahidat aur un ki mani tamam duration k chart par yaksan tawar par lagon hote hen.

    Trading Maqsad k aik had k leye Qabele-amal (Applicability for a range of trading purposes):

    Candlesticks k nishanat, movement aur patterns mukhtalif maqasid k leye khas qeemati views faraham karte hen. Candlesticks ko na sirf confirmation tools k tawar par istemal kia ja sakta hai, bulke day-trading ya swing-trading ki strategies ko improve karne, option-trade k waqat, maojooda qeematon me uthar-charao (volatility) k nishan-dahi k leye, aur yahan tak keh khareedari k waqat bhi jab sarmaya kari ki strategies me taraqi deni ho istemal kia ja sakta hai.

اب آن لائن

Working...
X