How to avoid estimated fraud in trade field.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    How to avoid estimated fraud in trade field.
    AOA member!
    Jb ap Forex trading market mei working activity kar rahy hon to iss doran apko kch problem bhi ho sakti hein. Bahar ki dunia ki tarah yahan bhi fraud aur nuksan ka samna krna parr skta hai.
    isliye Jab aap market mein apni working activity karein to nechay bayan kiye gy points ko apny mind mein zror rkhein ta k ap ksi bhi mumkina fraud se bch skein.


    Account Maintenance required or fraud?


    Forex trading me members aapko access karte hain aur ap se yeh keh kr fraud krty hein k wo apka account maintain karenge aur ismein aapka profit 50% receive karenge. aise members hamesha aapke sath fraud kar sakte hain kyunki yah vah members hote Hain jinke pass self investment nahin hoti hai lekin vah apne kuchh experience ki base per market mein enter hokar kuchh logon ko profit hasil karke de sakte hain lekin profit ki ratio kam hoti hai aur nuksan hone ki chances jyada hote Hain.


    PAMM Trading Required or not?


    PAMM Trading basically aik eisa system hota hai, jismein different members apni participation karte hain yah members apni investment Kisi ek account mein add karte hain aur ek expert trader trading kar raha hota hai aur jab unko profit hota hai to apni investment ki base per vah profit distribute Kiya jata hai lekin yah bhi bahut jyada dangerous ho sakti hai aur aapko ismein bahut jyada problem ho sakte hain isliye aapko hamesha self experience ki base per market mein trading karni chahie aur kabhi bhi apne investment Kisi ko nahin Deni chahie.


    Avoid Signals Group ;


    Jab aap Forex trading market ki field ko choose karte hain to aapko bahut sare members signals provide kar rahe hote hain aur ismein kuchh aise members hote Hain Jo free of cost signals provide karte hain aur kuchh aise members hote Hain Jo paid group mein aapko invite kar rahe hote Hain aise members per bhi aapko trust nahin karna chahie kyunki yah member bhi aapke sath fraud kar sakte hain aur problem ho sakti hai.


    Scam of fake profit summary;


    Jab aap market mein working kar rahe hote hain aur kuchh members aapko apne account ka bahut jyada profit show kar rahe hote Hain to aisi situation mein sometime aapke sath fraud ho sakta hai kyunki vah profit unka apna nahin ho sakta aur vah Kisi aur account ka profit aapke sath share kar rahe hote hain isliye aese accounts ko avoid krein aur kabhi bhi aisi members ke sath working na krein.


    Conclusion; Trust No one!


    At the end of my post we can conclude that we should remain careful and trust no one. aapko hamesha apna experience increase karne ke bad hi trading karni chahye . Apni dunia banaen r kamyab ho jaen.


    Thank You

اب آن لائن

Working...
X