Forex Failed Pattern
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Failed Pattern
    Failed Pattern


    Failed patterns wo hote hen, jo aik signal ki indication to de deta hai, lekin aamli tawar par aisa hota nahi hai. Koi bhi indicator fail ho sakta hai, chahay wo candlestick patterns ho ya baar pattern jo trend reversal ya continuation k leye istemal ho rahe hon. Qeematon k chart analysis me failed patterns aksar paye jate hen, jo trend confirmation ki taraf ishara karte hen.
    Yahan tak k Indicator par trend confirmation ka matlab ye nahi hai, k wo is baat ki guarantee dega k reversal lazmi hoga. Lekin ye strong patterns aur us k confirmation k leye entry aur exit points ki accuracy ko improve karti hai. Candlestick pe analysis karne wale indicators ki confirmation dosre candlestick pattern ya price changes, jaisa k gapping, narrowing trading ranges, ya tests of resistance and support se ho sakti hai. Aam tawar par istemal hone wale western indicators aik dosre se ya aik hi trading position par candlestick pattern se bhi confirmation ho sakti hai. In tamam indicators ki jo price-based hen ki confirmation momentum oscillators, price-based moving averages (khas tawar par do alag alag moving averages k convergence aur divergence ki analysis k leye), aur aik khas qisam (special) k indicators (jo k volume k trend k analysis par mabni ho) se bhi hoti hai.
    Baaz dafa kuch traders aik ghalti karte hen, k wo market me trend k tasalsul me opposite side pe ye soch kar entry karte hen, k yahan se trend reversal ho sakta hai. Aksar awqat aisa tab hota hai, jab bhi traders analysis k leye kamzoor indicators ya wrong pattern pe trading kar jate hen.



    Trading k Dowran Failed Pattern ko Handle karna



    Confirmation indicators ka result hamesha same aik page pe nahi hota hai. Ye baat bhi yahan note karen k confirmation k leye indicators k mele jule signal hote hen. Agar aisi soratehal ati hai, to us waqat traders ko khud andaza lagana hota hai, k koun se side pe confirm karna hai. Agar trader ne is waqat market me entry karni hoti hai, to us waqat us ko qeematon ko thora sa agay chalne dena chaheye, lekin agar trader ne market se exit ka plan banaya ho to us sorat me us ko profit ki sorat me foran exit aur loss ko kam karke pher exit karna chaheye.
    Failed patterns ki percentage mukhtalif hoti hai. Kuch indicators dosre k muqabele me ziada strong aur qabele-aitemad hote hen. Aik trader jo sirf aik hi indicator ka istemal karke trading karta hai, wo un traders k muqabele me ziada loss uthata hai, jo k trend ya signal confirmation k keye mukhtalif ya aik se ziada indicators ka istemal karte hen.
    منسلک شدہ فائلیں
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Forex Failed Pattern

    Forex trading some time chart patterns failed bhe hote hai.

    Forex trading me hum daikhte hai ke some time charts patterns fake break out karte hai jin ki waja se hume bohat sara loss bhe ho jata hai hume kaise fake break out se bach sakte
    hai ya hume kaise pata chale ga ke ya aik fake break out hai forex trading me jub bhe hum koi trade karte hai tu us ke peechay humne analysis kiya hota hai technical analysis
    or hum uski base per trade lagate hai lakin agr humara analysis galt ho jaye tu humari trade loss me chali jati hai tu hume kya karna chahiye ya hum loss se kaise bachay koshish karni
    chahiye ke hume stop loss laga kar hi trade karni chahiye.

    Fake break out se kaise bacha jaye?

    trading karte howe market me jub bhe koi chart pattern banata hai tu wo 2n kam karta hai ya tu wo proper work kare ga ya phr failed ho jaye ga yani work nai kare ga
    ab hume daikhna hai ke hum kaise loss se bachay or profit earn kare. jub bhe trade kare tu money management ke sath trades open kare or stop loss zaror lagaye
    agr apki trade ya apka analysis wrong bhe jaye tu bhe apko loss zaida na ho stop loss lagane se apko loss kam ho ga or ap next trade laga kar apna loss recover kar sakte hai.

    Fake break out bhe market ka hissa hai.

    forex market me agr chart patterns har dafa hi proper work kare tu har koi is business me profit kare or kisi ko kabi loss na ho lakin aisa nahi hota is market me 90% log loss isi
    liye karte hai kyu ke charts patterns fake signals bhe dete hai jin ki waja se zaida ter logo ko samaj nahi ati or wo market me wrong signals ko read nahi kar sakte or loss karte hai
    hume zaida loss se bachanay ke liye stop loss ka use karna chahiye stop loss hi hume save rakhta hai ya humara capital save ho jata hai.
    منسلک شدہ فائلیں

    اب آن لائن

    Working...
    X