Helpfull Tips to start forex trading.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Helpfull Tips to start forex trading.
    Forex trading 2 currencies main honay wali trades ka aik business hai, jisay traders different types ki currencies main use kartay hwuay sell ya buy k hisaab say learn bhi kartay hain aur sath sath achay experience say is say acha profit bhi hasil kartay hain. Agar hamaray pass forex market main trading karnay ki koi safe techniques hain to tab ham is market say acha profit hasil karnay main success hasil kar saktay hain, laikin agar ham isay daikha daikhi k hisaab say join kartay hain to ham is market say kuch bhi khaas hasil nai kar saktay hain.
    Agar aap forex trading market main aik new traders hain to hope ki ja sakty hai k yeh post apko aik acha benefit dainewali hai jisko follow kartay hwuay aap forex market say bahut kuch hasil kar saktay hain.



    Click image for larger version

Name:	1.png
Views:	1
Size:	136.2 کلوبائٹ
ID:	12544525



    Tips for Forex Trading Beginners:



    Forex market main trading ko start karnay say pehlay ham jitnay bhi experts hain, ham jitnay bhi market main old traders hain, jab tak ham fundamental news chart ko nai daikh kar trading deceioun laitay hai ham kabhi bhi success nai ho saktay hain. Is liye sab say pehlay aur important yahi hai k ham forex news ko follow karna seekhain aur usk baad ham jo bhi failsa laitay hain hamari kamyabi usi k sath he start honay k chances increase ho saktay hain.

    Select a perfect broker:

    Mairay knowledge k hisaab say sab say importnat tip yeh hai k hamain market main entry say pehlay aik perfect broker ka choose he hamari success ki pehli seerhi hai jisko follow kartay hwuay ham darj zail benefit ko hasil kar saktay hain.

    1: Aik perfect broker ka choose hamari investment ko save krta hai.
    2: Aik perfect broker ka chosse hamain achi leverage daita hai.
    3: Aik perfect broker ka choose traders ko education material provide karta hai.


    Develop a risk management plan:


    Forex market main success k liye aik important tip yeh bhi hai k agar ham apnay risk ko management k sath sath aur plan k sath use kartay hain to hamain apni investment k loose honay ka kabhi koi dar nai hoge. Yeh lazmi nai hai k jab tak ham market main trading akrtay hwuay aik big risk nai laitay hain ham kabhi success nai ho saktay hain, is liye better yahi hai k hamain apnay risk ko plan k sath manage kartay hwuay trading karni chaye.


    Click image for larger version

Name:	2.png
Views:	1
Size:	233.6 کلوبائٹ
ID:	12544526


    Construct a trading plan:


    Traders k liye yeh sab say ziada important hai k jab wo market main apni 1st trade ko execute karnay lagtay hain to unk pass aik trading plan ka hona bahut ziada zaruri hai, k market main kitna risk laitay hwuay kahan say kitna profit hasil kark out hona hai, agar traders is tip pay amal kartay hwuay market main trading kartay hwuay to aik acha profit hasil karna koi bhi mushkil kaam nai hai aur aisay kartay hwuay traders aik big loss say bhi save reh saktay hain.
    Trading plan ko perfect bananay k liye darj zail pay amal karna zaruri hai:

    1: Trading start karnay k liye time ki pabandi ka hona must hai.
    2: Technical indicators ka use traders ko aik perfect idea daitay hain unka use ziada better hai.
    3: Buy ya sell ka signal bhi use kiya ja sakta hai.


    Click image for larger version

Name:	3.png
Views:	1
Size:	123.2 کلوبائٹ
ID:	12544527

    Avoid being overly emotional:


    Forex market main trading kartay hway traders ki sab say jo big mistake hoty hai wo emotions hotay hain, qk market kabhi bhi aik directions main movements nai kartay hwuay kabhi trends main to kabhi sideway main, agar traders aisi situtaion main apnay emotions pay kaboo nai rakhtay hain to wo market main aur bhi ziada orders big lot k sath use karna start kartay hain jiska result yeh nikalta hai k market unk opposit movements karna start karty hai jo k traders k loss ka reasong bantay hwuay unko loss daitay hain, agar is disease say avoid kiya jaye to yeh aik achi technique hai aur achi tip bhi hai.


    Shukrya.

اب آن لائن

Working...
X