Bullish Mat-Hold Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bullish Mat-Hold Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bullish Mat-Hold Pattern


    Bullish mat hold pattern bullish trend main banne wala aik bullish trend continuation pattern hai, jo k panch candles par mushtamil hota hai. Ye pattern jab newly bullish breakout ya normal sideways market main banta hai, to uss waqat prices bohut teezi k sath bullish jati hai. Bullish mat-hold pattern ki pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jiss k baad small real body main teen candles hoti hai, ye candles bullish aur bearish dono ho sakti hai, lekin ye prices main thora sa waqfa peda karta hai. Darmeyan wali teeno small candles bearish, bullish aur bearish formate main ziada tar hoti hai. Bullish mat-hold pattern k last par aik aur bullish long real body wali banti hai, jo k bullish trend ko uptrend main continue karati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (75).jpeg
Views:	11
Size:	23.2 کلوبائٹ
ID:	12544165

    [U
    Candles Formation
    [/U]


    Mat-hold pattern continuation pattern hone ki waja se bullish trend main banta hai, ye pattern panch candles par mushtamil hai, jiss ki tafseel darjazzel hai;

    Click image for larger version

Name:	images (2) (74).jpeg
Views:	9
Size:	17.3 کلوبائٹ
ID:	12544166

    1. First Candle: Bullish Mat-hold pattern ki pehli candle bullish hoti hai, q k ye pattern bullish trend continuation ka kaam karta hai. Mat hold pattern ki pehli candle color main white ya green hoti hai.

    2. Second Candle: Bullish Mat-hold pattern ki dosri candle wese to kisi bhi pattern (bullish or bearish) ki ho, pattern k mutabiq thek rahegi, lekin agar ye candle bearish ho to ye ziada pattern se mushabehat rakhti hogi. Ye candle black ya red color ki ho sakti hai, lekin zarrori nahi hai k aisa lazmi ho.

    3. Third Candle: Bullish Mat hold pattern ki teesri candle aik small real size main banti hai, agar ye candle formate main kisi bhi pattern ki ho pattern k mutabiq thek rahegi. Lekin ziada maozon agar ye candle bullish ban jaye to best rahegi. Ye candle color main white ya green honi chaheye lekin zarrori nahi hai.

    4. Fourth Candle: Bullish Mat-hold pattern ki fourth candle bhi dosri candle ki tarah formate main banti hai, ye candle bhi kisi pattern (bullish or bearish) ki ho, pattern k mutabiq thek rahegi, lekin agar ye candle bearish ho to ye ziada pattern se mushabehat rakhti hogi. Ye candle black ya red color ki ho sakti hai, lekin zarrori nahi hai k aisa lazmi ho.

    5. Fifth Candle: Bullish Mat-hold pattern ki akhari fifth candle formate bullish trend continuation pattern k mutabiq bullish hoti hai, jo k aik long real body wali candle hoti hai. Ye candle color main white ya green banti hai, jo k trend continuation ka sabab banti hai.

    Explanation


    Bullish mat-hold pattern panch candles ka aik bullish trend continuation pattern hai, jiss ki pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jiss ka baad aik small real body wali teen mukhtalif color yani bullish aur bearish candles hoti hai. Ye pattern agar newly bullish breakout pattern ya sideways pattern main banti hai, to iss ka trend bohut teezi k sath bullish jati hai. Mat-hold pattern k darmeyan main aksar teen small candles black crows pattern ki candles hoti hai, lekin kabhi kabhi iss main aik candle bullish bhi darmeyan main a jati hai. Pattern ki last candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo k prices ka bullish trend continuation ka sabab banti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (153).png
Views:	29
Size:	6.9 کلوبائٹ
ID:	12544167

    Trading


    Bullish mat-hold pattern prices k darmeyan yanni sideways trend ya newly bullish breakout trend main buyers k leye ziada chances hote hen, k wo market main buy ki entry karen. Q k iss pattern k baad prices teezi k sath bullish jati hai. Pattern par trading bagher bullish candle confirmation k entry nahi karni chaheye, q k ye bohut ziada riski hai. Pattern par trading se pehle market ki position dekh len, k ye sideways ho ya newly bullish breakout hona chaheye, dosra ye pattern long term k timeframes main banna chaheye. Agar pattern ki agli candle bullish hoti hai, to yahan par buy ki entry ki ja sakti hai. Jab k patterns par Stop Loss pattern k sab se low position jo k pehli candle ka low banega par set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (76).jpeg
Views:	12
Size:	29.9 کلوبائٹ
ID:	12544164

اب آن لائن

Working...
X