Detailed discussion of brokers and it's working??
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Detailed discussion of brokers and it's working??
    Trading men hmari success aur hmara failure broker per depend karta hai. Hamen trading mein successful hone ke liye ek acche broker aur ek acchi organisation ki zarurat hoti hai. Broker ki selection bahut ziada matter karti hai.
    Sab se pahle broker ki definition ke bare mein maloom hona bahut zyada zaroori hai.
    "Aik shakhs/ organization/ company jo keh aik investor aur security exchange ke darmian intermediary ke tor per kam karta hai broker kehlata hai".

    " Aik shakhs / organization/ company jo keh assets ko dosrun kay liay buy ya sell karta hai usko broker kehtay hain".

    Explanation:

    bahtreen securities exchange hotay hain , woh asy individual ya firm ko accept kartay hain jo keh exchange ke members hotay hain. Individual traders traders aur investors pher un exchange members ki services letay hain. Brokers apni services provide kar ke compensate hotay hain jo keh apni service kay result men fees/ commission ya pher exchange sa payment hasil kartay hain.

    Brokers ki qualities:
    • Market ka excellent knowledge hota hai.
    • Technical knowledge hota hai.
    • Legal aur professional knowledge provide kartay hain.
    • clarity aur transparency unki quality hoti hai.
    • Kamyabi aur focused tawajah.
    • Broker aik skilled communicator hota hai.
    • Organized aur available hota hai.
    • support aur reassurance provide karta hai.
    • Loyal hota hai
    • zarori licence aur registration ka sath sath experienced hota hai.


    Working of broker:

    • Broker business transactions ki variety Kay sath deal karta hai, jesa keh :
    • Real estate ki deals mein parties kay liay intermediary kay tor per kam karta hai.
    • Broker , customers relationship ko banata r maintain karta hai.
    • Sales aur complete administrative duties execute karta hai.
    • Document ki tayari aur customers ko follow-up karta hai.
    • Broker , invester aur security exchange relationship mein kam karta hai.
    • Broker aik firm ka kirdar ada karta hai jab yeh customer ka liay agent ban kar apni services ka commission charge karta hai.
    • Jab aap market mein kei entry laty Hain tu usmein broker apna commission receive karta hai, isko aap spread ka name sa janty Hain. No doubt different brokers ka different spread hota hai. Liken ya spread hi broker ki income hoti hai. Broker Kay pas jitni zyda trade open Hun ge, usy itna hi zyda commission Mily ga. Brokers aap ko maximum value added services isi liye provide krty Hain ta Kay us broker Kay pass maximum transactions Hun.



    Types:

    1-Discount brokers:


    Discount traders , clients ka behalf per trades ki different types ko execute kartay hain.
    Discount traders ka commission low hota hai jo keh 5$ -15$ tak hota hai.
    Volume aur lower cost ki waja say inka fee structure low hota hai.
    Investment advice provide nahin kartay.
    Asy brokers investment ki advice offer nahin kartay aur fees ki jaga salary letay hain.

    2- Full service brokers:
    Full service brokers bahut sari services detay hain , jesa keh:
    Market ki research.
    Investment kay liay advice.
    Retirement ki planing.
    Investment products ki range.
    In sab services ki waja sa investor ko high commission pay karna hota hai. Brokers ko compensation unki brokerage firm, trading volume aur sale investment products ki base per di jati hai.

    Real estate brokers:
    Licensed professional broker jo keh seller's property ko zahir karta hai, usko real estate broker kehtay hain".
    Real estate brokers ki duties :
    1-Sales ki properties list aur advertise karna .
    2- Prospective buyers ko properties dikhana.
    3- Clients ko offers, provisions aur asy circumstances say gah krna.
    4- price range aur criteria ko locate karna.
    5- Sell sa buyer ka behalf par negotiate karna.
    6- Market value ki properties ko determine karte hain.
    7- Sale property ki listing aur advertising.
    8- Clients ko offers aur provisions ki advice dena.
    9- Sellers ko consideration kay liay offers dena.
    10- Buyer's ki desire area mein price aur criteria sort karna.
    11- Initial offer aur purchase agreement bnana.
    Brokers bahut important role play karta hai , broker ka bagair trading impossible hai. Trading mein kamyabi broker per depend karti hai.

اب آن لائن

Working...
X