Assalamu Alaikum Dosto!
Downside Gap Three Methods
Downside gap three methods price chart main banne wala aik three candles ka bullish trend reversal pattern hai, jo k bearish trend ya low prices area main banta hai. Candlesticks charts aik technical tool hen, jo traders ko bohut aham trend k hawale se information deti hai. Candlestick ka currency pairs k technical analysis k leye bohut aham hen, jiss se traders na sirf in ka istemal dosre indicators k sath mela kar karte hen, bulkeh ye akele bhi aksar aik leading indicators ka kaam karte hen. Downside gap three methods k pattern main pehli aur dosri candles bearish jab k last wali candle aik bullish candle hoti hai, jo k trend reversal ka kaam karti hai. Downside gap three methods k opposite direction main prices k top par bearish trend reversal k leye up gap three methods pattern banta hai.
Candles Formation
Downside gap three methods teen candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jiss jo k bottom area main banne par assets k prices ko uptrend main tabdeel karta hai. Downside gap three methods do bearish aur aik bullish candles se mel kar banta hai, jiss ki tafseel darjazzel hai;
1. First Candle: Downside gap three methods k pattern main pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k long real body main bnati hai. Ye candle prices k maojoda bearish trend ko zahir karti hai, jo k shadow samet ya shadow k bagher ho sakti hai. Pattern ki pehli candle ki closing price open se nechay hona chaheye.
2. Second Candle: Downside gap three methods ki dosri candle bhi same bearish candle hoti hai, jo k pehli candle se lower gap main banti hai. Ye candle bhi shadow ya shadow k bagher ho sakti hai, jab k candle ki close price open price se kam hona chaheye. Dosri candle ka pehli candle se lower side par gap main hona zarori hai.
3. Third Candle: Downside gap three methods ki teesri candle aik bullish candle hoti hai. Ye candle dosri candle ki real body main open ho kar pehli candle ki real body main close hoti hai. Teesri candle ka close price open price se ziada hona chaheye. Ye candle trend reversal ka sabab banti hai.
Explanation
Downside gap three methods prices k bottom main banne wale pattern tasuki gap down se melta julta hai, jiss main prices same bearish trend main tasalsul jari rakhti hai. Downside gap three methods teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jiss ka close price open price se kam hota hai. Pattern ki dosri candle bhi bearish candle hoti hai, jo k pehli candle se nechay gap main banti hai. Pehli aur dosri candle k darmeyan banne wala gap wazih hona chaheye, yanni dono candles k shadows bhi gap main nahi ana chaheye. Pattern ki teesri candle aik bullish candle hoti hai, jo k dosri candle k real body main open ho kar pehli candle k real body main close hoti hai. Bullish candle pehli aur dosri candle k darmeyan banne wale gap ko cover karti hai.
Trading
Downside gap three methods price chart main banne par traders ko bullish signals deta hai, jiss par market main buy ki entry ki ja sakti hai. Pattern par trading se pehle aik confirmation candle ki zarorat hoti hai, jo k real body main bullish honi chaheye aur agar ye candle pehli candle k top par close hoti hai, to ye aur bhi reliable pattern hoti hai. Pattern k baad bearish candle banne par trade ki entry nahi karni chaheye. Pattern ki trend confirmation indicators se bhi ki ja sakti hai. CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator par value oversold area main hona chaheye. Pattern k bottom par Stop Loss ka hona zarori hai, jo k patterns k sab se lower position ya dosri candle ki close point se two pips below set karen.