Trading with Pullback movements.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading with Pullback movements.
    Trading with Pullback movements.
    Introduction:

    Aslaam o Alaikum!


    Dear forex members!
    Main apk sath market main prices k pullback honay say tarding karnay pay discuss karnay wala hoon jis main achay comments say ham sab members bahut acha faida hasil kar saktay hain aur sath prices k pullback honay say wrong entry say bhi ham bach saktay hain jo k sab kuch detail k sath darj zail main hai:
    Forex trading market hamesha trend ko follow karty huwey apni movement continue kerti hai lekin kabhi bhi market directly uptrend main movement nahi karti bar bar market uptrend main movement karty huwey retracement bhi laiti hai lekin overall market uptrend main hi movement kerti rehti hai jabk aisy tamam retracement jo trend kay against hoti hain unko pullback kehty hain, ky jab market kisi trend main movement kar rahi hoti hai tou jo retracement ya pullback kerti hai to wahan say hamain previous trend kay mutrabiq trade open kerna hoti hai ky market jab pullback ky bahad again trend ko follow karna shoru karti hai to profit hasil hona start ho jata hai jisk sath ham market main achi eaning say faida hasil karnay main success hotay hain.


    Pullback with short-term:


    Dear friends!

    Forex market k chart pay trading kartay hway Jab ham market main short term trading kerna chahty hain to hamain aisy time par pullback per trade continue karni chahiaye, lekin koi bhi pullback expect nahi karna chahiaye ky market trend main to bari movement kar chuki hai to abhi pullback kary gi lehaza ham trend kay against he trade open kar letay hain tou yeh market main trend kay against trade open kerna bahot bara risk hota hai, q k hamain aisy time par kisi surat bhi trend kay against trade open nahi karni chahiaye lekin market jaisy he pullback kary hamain short time kay liaye trade open kar ky kuch profit main close kar leni chahiaye aur next pullback ka wait kerna chahaiy jis say ham market kamyab ho saktay hain.


    Pullback against trend:


    Dear!

    Forex market main trades kartay huway jab ham market main trend ko follow karty huwey trade kar rahy hoty hain aur pullback par trade open karty hain to hamain yeh bhi mind main rakhna chahiay kay market ka trend kabhi bhi change hon sakta hai jis say hamari agar pullback strategy per koi trade open hai to usko secure karna bahut zaruri hota hai. So hamain pullback kay sath bhi open ki jany wali trade main stop loss zarur set kerna chahiay ky agar trend change hota hai tou hamari pullback par open ki jany wali trade main hamain bahot bara loss ho sakta hai lehaza hamain pullbacks aur trend change ki pehly confirmation kar leni chahiay phir trade open karni chahiaye warna hamain bara loss ho sakta hai jisk baad hamain market say out hona parr sakta hai.


    Click image for larger version

Name:	pull back.png
Views:	10
Size:	7.5 کلوبائٹ
ID:	12541491

    Shukrya.

اب آن لائن

Working...
X