Long Lower Candlestick Pattern
Long lower shadow candle ki aik small real body hoti hai, jis ka oper ki tadaf par aik long tail ya wick hotti hai. Jab k ziadda tar candle k nechay ki taraf par koi wick ya shadow nahi banta hai. Agar upper ki taraf par aik small wick ban bhi jayye to bhi acceptable hai, lekin ziada lamba ya real body se size main bara na ho. Ye candle lower trend par hone ki waja se long upper shadow candle ki opposite hoti hai.
Pattern ki Pehchan k Rules
- Long lower shadow candle aik small real body wali candle hai, jo Umbarella k family se taluq rakhti hai.
- Candle aik bullish trend reversal ka kaam karti hai, iss waja se qeematon ka pehle se low price area ya bearish trend me hona chaheye.
- Candle ki lower side par aik lamba shadow ya saya hota hai.
- Candle k upper side par koi shadow nahi hona chaheye, sewaye aik chote se nose wick k.
- Candle ka shadow real body se size me dugna ya us se ziada hona chaheye.
Pattern ki Tafseel
Long lower shadow candle main prices bearish jane k baad wapis open price k pass close ho jati hai, jis par candle ki aik small real body banti hai, aur lower side par aik long shadow ya wick hoti hai. Long lower shadow candle ki up-side par wese to koi wick ya showed nahi honna chaheye lekin aggar bann jaye to is se candle k formation par koi assar nahi partta hai. Lekin upside par shadow ziada lamba nahi hona chaheye jis se ye candle "Spinning top" candle bann jaye.
Pattern par Trading ka Amal
Long lower shadow candlestick pattern par entry karne se pehle prices ka bottom area honna zarori hai, dosra pattern k baad confirmation candle ya koi relaible indicator se help bhi zaror lenni chaheye. Agar long lower shadow candle k baad aik long real body wali white candle banti hai to ye aik strong trend reversal aur market main buy ki entry ki position hogi. Pattern par apne risk k mutabiq stop loss set karen.