Hanging Man Candlestick
Inverted hammer candle forex trading main aik single candle pattern hai, jo k qeematon k lower zone me support level par paye jati hai. Ye candle aik bullish trend reversal k leye istemal hoti hai, jo k single candle pattern par mushtamil hota hai. Candle ki aik small real body hoti hai, jiss me qeematon ka open aur close aik dosre k bohut ziada qareeb hote hen. Candle k ooper ki taraf aik bari wick ya saya banta hai, jo k real body ka taqreeban dugna ya us se ziada hota hai.
Pattern ki Pehchan k Rules
- Inverted hammer candle aik single candle pattern hai, jo k low qeematon wale zone ya bearish trend me banti hai.
- Candle k lower side par aik small real body hoti hai, jis me open aur close aik dosre k qareeb hote hen.
- Candle k upper side par aik lamba shadow ya saya hota hai.
- Candle ka shadow ya saya candle ki real body ka taqreeban dugna ya us se zyada ho sakta hai.
- Candle white aur black dono pattern me ho sakti hai, lekin sab se zarori point is ka bottom prices par banna hai.
Pattern ki Tafseel
Inverted hammer candle bullish trend me qeematon ko badalne k leye istemal hone wali aik single candle pattern hai, jis me qeematen confirmation ka baad upper rising karna shoro karti hai. Ye candle prices k top me banni wali shooting star candle se melti julti hai, lekin qeematon k bottom par hone ki waja se ye candle mukhtalif ban jati hai. Candle me qeematen aik small real body banati hai, jis me open aur close aik dosre k qareeb banta hai, jab k candle k upper aik lamba saya hota hai, jo k candle k real body se size me ziada hota hai.
Pattern par Trading ka Amal
Inverted hammer candle trading k leye tab aik achah signal deti hai, jab bhi qeematen low area ya bearish trend me ho. Candle k baad aik white candle ka banna zarori hai, jis par buy ki trade enter ho sakte hen, jab k black candle Inverted hammer candle ki asarat ko khatam karti hai. Ye candle next white candle par market me entry jab k real body k bottom par stop loss ki position hoti hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим