Gravestone Doji Candlestick Pattern
Gravestone doji candle qeematon k top par bullish trend ki tabdeel ka zarya banti hai, jiss se qeematen downward gerna shoro ho jati hai. Gravestone doji candle price chart par doji candle se taluq rakhti hai, jis me candle ka open, close aur low prices same point par hote hen. Candle k upper side par aik lamba shadow ya saya banta hai, jab k lower side par shadow nahi banta hai.
Pattern ki Pehchan k Rules
- Gravestone doji candle aik single candle pattern hai, jo prices k top ya bullish trend main banti hai, jo k bearish trend reversal ka kaam karti hai.
- Ye candle bagher real body ki hoti hai, jis me open aur close same point par hote hen.
- Candle k lower side par aik lamba shadow ya saya hota hai.
- Candle k upper side par small si wick k elawa koi shadow nahi honi chaheye.
- Ye candle normal prices me neutral hoti hai.
Pattern ki Tafseel
Gravestone doji candle aik single candle pattern hai, jo k qeematon high area ya bullish trend main ban kar bearish trend reversal k kaam karti hai. Ye candle bagher real body ki hoti hai, jis k upper side par aik lamba saya hota hai, jo k prices k leye resistance level sabit hota hai. Gravestone doji candle me qeematon ka open, close aur low same point par jab k high price par aik lamba shadow banta hai.
Pattern par Trading ka Amal
Gravestone doji candle ko technical analysis k tawar par istemal karne k leyw prices ka pehle top trend me hona aham hai. Ye single candle pattern hai, is waja se trend confirmation k leye aik black candle ka hona zarori hai, jis par market me sell ki entry ki ja sakti hai. Candle ka high shadow strong resistance level hota hai, jis par stop loss bhi lagaya ja sakta hai. Candle k baad hi market me entry ki ja sakti hai.