Bearish Doji-Star Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Doji-Star Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bearish Doji Star Pattern


    Price chart par jab bhi aik bullish trend k dowran ya high prices main aik doji candle aisi ban jaye k uss k baad prices bearish trend reversal main tabdeel ho jaye to ye pattern bearish doji star pattern kaha jata hai. Bearish doji star pattern two days candles par mushtamil aik bearish trend reversal pattern hai, jiss ki pehli candle aik long real body wali bullish candle bantti hai, jab k baad main aik doji candle hoti hai, jo k bullish candle k top side par banti hai. Ye candle ziada tar doji star candle hoti hai, jiss main open aur close aik jaise honne k sath sath high aur low bhi same hote hen. Bearish doji star pattern main teesri bearish candle shamil hone ye pattern evening doji star pattern ya bearish abandoned baby candlestick pattern ban jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (8).jpeg
Views:	1
Size:	4.3 کلوبائٹ
ID:	12540643

    Candles Formation


    Bearish doji star pattern k naam se zahir hai, k iss pattern k baad prices mumkina tawar par bearish trend ikhteyar kar lengi. Ye pattern aik bullish ya high prices main banta hai, jo k do candles par mushtamil hota hai, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (3) (11).png
Views:	2
Size:	633 بائٹ
ID:	12540644

    1. First Candle: Bearish doji star candlestick pattern main shamil pehli candle aik bullish candle hoti hai, jiss ka close price open se ziada hoti hai. Ye candle aik real body main banti hai, jo k white ya green color main hoti hai. High prices main banne wali ye candle bullish trend ki akasi karti hai.

    2. Second Candle: Bearish doji star candlestick pattern ki dosri candle aik doji candle hoti hai, jiss ka open aur close same price par hota hai. Ye candle aik doji star candle hoti hai, jiss ka high aur low same length ka hota hai. Ye candle prices ko mazeed bullish janne se rokti hai, jo k bagher color ya kisi pattern ki hoti hai.

    Explanation

    Bearish doji star candlestick pattern prices chart par evening doji star candlestick pattern ka half hisa hota hai, jiss main do candles hote hen. Pattern ki pehli candle aik real body wali bullish candle hoti hai, jo k prices k bullish trend ki alamat hoti hai. Pattern ki dosri candle aik doji candle hoti hai, jiss k prices ka open aur close din k ikhtetam par same point par hota hai. Ye candle aik star doji candle hoti hai, jiss main prices ka high uss k low k barabar hota hai. Yanni candle k open aur close point se upper aur lower sides ka shadow same length main hota hai. Ye pattern prices bearish trend reversal main tabdeel karta hai, jo agay ja kar evening doji star pattern ya bearish abandoned baby candlestick pattern banata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (10).png
Views:	6
Size:	1.6 کلوبائٹ
ID:	12540645

    Trading

    Bearish doji star candlestick pattern par trading karne se pehle iss ki price chart par position dekh len, jo k bullish trend ya high price area hona chaheye. Ye pattern market main sellers k leye strong sell signals genrate karta hai, lekin uss par entry karne k leye trend confirmation candle ka hona zarori hai, jo aik strong bearish candle honi chaheye. Trend confirmation k leye CCI aur stochastic oscillator se bhi madad li ja sakti hai, jo k over-bought zone main hona chaheye. Lekin pattern k baad bullish candle bann ze ye pattern khatam tasawar hota hai, jab doji candle banne se agli bearish candle ka intezar karna chaheye. Stop Loss pattern k sab se top point par ya doji candle k upper se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (9).png
Views:	18
Size:	10.3 کلوبائٹ
ID:	12540642

اب آن لائن

Working...
X