Bullish Kicking Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bullish Kicking Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bullish Kicking Pattern


    Financial matket main prices kabhi bhi same trend main nahi chal sakti hai, bulke ye kabhi upward to kabhi downward aik tarteeb k sath chalti rehti hai. Jab bhi prices aik trend se dosre trend main tabdeel hote hen, to ye aik trend reversal pattern banati hai, jo prices ki mumkin aagli trend ki reversal ki indication pehle se de deti hai. Bullish kicking pattern twondays candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jo k prices k bottom main banta hai. Pattern ki pehli candle aik normal real body wali bearish candle hoti hai, jo k market main bearish trend ki alamat hoti hai. Dosri candle pehli candle se upper side par gap main banti hai, jo k aik real body wali bullish candle hoti hai, ye candle higher par ja kar close hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (40).png
Views:	32
Size:	5.8 کلوبائٹ
ID:	12540220

    Candles Formation


    Bullish kicking pattern main shamil dono candles mukhtalif color ki hoti hai. Ye pattern prices k bottom ya bearish trend main bone ki waja se pehli candle bearish jab k dosri candle trend reversal wali bullish candle hoti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220624_211306.jpg
Views:	1
Size:	41.2 کلوبائٹ
ID:	12540221

    1. First Candle: Bullish kicking pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k bearish trend ki alamat hoti hai. Ye candle prices k sab se lower position par banti hai, jo k umoman prices ka bottom end hota hai. Ye candle color main black ya red hoti hai.

    2. Second Candle: Bullish kicking pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jo k open pehli candle se above gap main hoti hai. Ye candle ziada tar bagher shadow ki hoti hai, jiss ka lower side par pehli candle se wazih gap hota hai. Dosri candle color main white ya green banti hai.

    Explanation

    Bullish kicking pattern prices k bottom main achanak prices ko upward push karti hai, jiss se iss two days pattern ki pehli bearish candle aur dosri bullish candle k darmeyan aik wazih gap ban jata hai. Pattern ki doni candle candle ziada tar bagher shadow ki hoti hai, lekin small wick banne par pattern pher same behaviour deti hai. Ye pattern bullish Separating line pattern se thora sa mukhtalif hota hai, jiss main dono candles ka open to same point par hota hai, lekin closing point opposite direction main hote hen. Lekin Bullish kicking pattern main dono candles ki open point ka darmeyan gap hota hai, jab k closing point opposite direction main hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220624_211102.jpg
Views:	1
Size:	76.4 کلوبائٹ
ID:	12540222

    Trading

    Bullish kicking pattern prices chart par uss waqat banta hai, jab bhi prices par koi news ya fundamental asarat asar andaz hoti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle se above gap main ho kar upward ja kar close hoti hai, jiss se market main buyers k ziada pressure k asarat ka andaza hota hai. Pattern par entry se pehle trend continuation candle ka hona zarori hai, jo k aik strong bullish candle honi chaheye. Black ya bearish candle banne par pattern ki afadeyat khatam ho jati hai. CCI indicator aur Stochastics oscillator ki value trading k dowran oversold zone main hona zarori hai, jab k pattern par Stop Loss sab se lower point ya pehli candle k bottom par set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (1) (16).jpeg
Views:	4
Size:	29.6 کلوبائٹ
ID:	12540219

اب آن لائن

Working...
X