Candle Sticks
Candle sticks ka aghaz jab se financial market me hone laga hai, tab se is ne aik inqelab barpa ki hai. Koi bhi trader ya analyst bagher candlestick k trading sar-anjam nahi de sakta, q k market analysis k leye candlestick ka istemal bohut aham hai. Candlestick analyst ko trading k dowran aik makhsos timeframe ka open, close, high aur low positions jaise aham information deta hai. Candlestick ka samajhna to asaan hai, lekin kuch zarori points aise hen, k jin ko analysis k dowran lazmi made-nazar rakhna chaheye ;
[list=1][*]Candlestick Real Body: Financial analysis k dowran ye baat made-nazar rakhen k jab bhi aik up-trend me candle ka close position open se ziada ho to ye bullish candle hogi, agar candle ki wick (shadow) candle ki real body se ziada bhi ho, tab bhi is ko bullish candle hi tasawar kia jayega. Haan albata! Agar candle ki real body wick ki nisbat kamzor ho to ye analysis par asar-andaz ho sakti hai, lekin candle bullish hi hogi.[*]Indicator Points: Kuch points pe to candlesticks ka bartao aam trading jaisa hota ahi, lekin wahan pe indicator k rules ko follow kia jata hai. Misal k tawar par, jab market 200EMA tak pohunchti hai, to trading to normal andaz me hoti hai, lekin indicator k mutabiq yahan pe support /resistance k point ho sakta hai, is waja se traders ko apni open position band karne chaheye.[*]Timeframe Value: Jaise jaise chart ka timeframe barhta jata hai, candlestick ki afadeyat (value) me izafa hota jata hai. Daily timeframe par mushtamil chart pattern hourly timeframe k chart pattern se ziada account hota hai, aur 1 hour (hourly) timeframes ka chart pattern 5 minutes k timeframe se bohut behtar hota hai.[*]Confirmation Indicator: Wese to candlestick market k situation k mutabiq bohut achah aur reliable indication deta hai, lekin pher bhi Candlestick chart pattern pe trading se pehle lazmi tawar par confirmation indicators ka istemal karen.
Candle ki Wick (shadow) ki Importance: Analysis k dowran jis tarah se candlestick ki real body ki importance hai, usi tarah se is ki wick (shadow) bhi usi tarah se aham hai. Agar aik jagah pe qeematen bullish aur bearish aik jaise dekhaye den, to wahan pe hum wick ki madad se pata laga sakte hen, k matket me buyers ya sellers me kon bohut zyada active hai. Wick ki is importance ko bhi bhi ignore na kia karen.[*]A big Common Mistake: Jab bhi analysis karen to selected timeframe me candle ko complete hone ka intezar karen. Yani kabhi bhi muqarara waqat se pehel market ko jadge karne ki koshash na karen. Misal k tawar par agar aik hourly timeframe selected hai, to candle ko bhi pora aik ghanta complete hone deya karen, aur kabhi bhi 50 ya 55 minutes pe is se result akhaz na karen. Baaz dafa akhari 5 se 10 minute me market ki complete situation badal jati hai. Is waja se jab bhi candle apni real body complete karke agli candle pe shift ho jaye tab hi analysis karen.