Swing Trading Aur Swing Trading Strategy
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Swing Trading Aur Swing Trading Strategy
    Swing Trading Aur Swing Trading Strategy

    Swing trading uss trading ko kehty jab traders long term kay liey apni trade open kerte haen aur saary analyses ker kay andaza laga ker labmy time kay liey wo buy yaa sell ke trade open kerte hein. Swing trader us trader ko kehty haen jes maen trader chota lot kee soorat maen barra amount ko jama kerta hae or losses ko cut kerny kie khoses kerta hae. yaeh chota gain chota to hoty haen but jb yaeh akhatey hoty haen to ACHI amount ban jati hae. Swing trading ko barra time kay lae use kiya jata hae.
    Swing trading strategy maen ham apney capital ka chotaest share market maen invest kerty haen. Waqti tor par yaeh chota gain etna barra nazar ni aty but time guzarny kay sath sath he yaeh chota gain barh ker barra profit ban jaty haen. Swing trading maen ik trade kie length 10 days tak b ho sakti hae. Es tarha chota win combine ho ker barra ban jati hae. Yes es maen loss ka factor b ah sakta hae but wo b chota hota hae es tarha trader ko chota loss say kio faraq ni parta. Swing trading technique maen market kay overall trend ko follow kiya jata hae. So market maen jb retracement ho trade ko close b kiya ja sakta hae or es ko continue b rakha ja sakta hae. Swing trading maen ham short or medium term trades ko use kerty haen. Es trading strategy maen ham different indicator ko use kerty haen kay hamy trade kay lae kio point mel jae. Es trading strategy maen resk reward ko bhot achy say use kiya jata hae or es maen stop loss or take profit ko b target achieve or loss say bachny kay lae use kiya jata hae.

    Ye period 2 days sa week tk ja sakta ha, yaeh un kay liay kafi mufeed hote haiy jo din bhar charts ko monitor nhi ker saktay mgr end of the day kuch ghantay achay anayleses ker lain, swing trading aesay members kay liay bht suit kerti haiy jo forex kay sath sath koi aur job b ker rahay hon, un kay pass free time ho jes sa wo global economy kie updates rakh sakain, swing trading strategy technical aur fundamental anayleses ko taayun kerti haiy ta kay yaeh maloom ho sakay kay near future maen currency pair kie price maen kia up and down ho gi, es strategy maen market kay trend ko follow kia jata haiy aur jb market maen retracement ho to timely apni trades ko close ker daina chaeay, esma resk reward ko thek tarah use ker saktay haen, es strategy maen scalping technique mufeed sabit hote haiy lakin us kay liay proper learning sa thek entry aur exit points kie selection kerni chaeay

    Faidey

    Swing tradinf strategy kay bhot sary faiday haen or un maen say kuch yaeh haen. Es maen time requirement kam hote hae or zayada barra trades ka wait ni kerna parta. Short trades hony kie waja say indicator say asy points find kerny maen asani hote haiy jes say profit hasil kiya ja sakta hae.

    Nuqsanaat

    Hamy kahe bar asi position maen pans jaty hae jes maen market kie situation over night or weekend par change ho sakti hae. Kahe bar market maen reversal kie waja say es strategy maen bhot loss ho jata hae. Swing trading chota trades par depend kerti hae so trader barra marker trend say faida utany maen nakam ho jaty haen.

    Technical Point
    Jab tak market per koi fundamental effect nehi hota tab tak market kuch hi pips ky darmian movement kerti rehti hae ky kabhi support kie taraf chalna shoru ker deti hae aur kabhi support say retracement ly ker resestance kie taraf market just support aur resestance ky darmian hi swing kerti rehti hae tou ess aesy time per market kesi support per ponch chuki ho tou hamain buy kie trade open ker ky resestance tak continue rakhni hote hae aur jab market resestance per ponch jati hae tou hamain trade sell main open ker ky support tak continue kerna hote hae esi terha ham market kie her swing per profit hasil ker sakty haen lekin hamain aesy time per market ko effect kerny wali news per bhi nazar rakhni chahiay ky aesa na ho ham trade open ker lain aur hamain loss hona shoru ho jaey phir hamain trade ko secure kerny ky liay support aur resestance ky breakout per stop loss bhi use kerna bahot zaruri hota hae

اب آن لائن

Working...
X