Stop Loss
Forex Trading k dowran ye zarori nahi hai k aik trader hamesha munafa main hi rahega, bulkeh bohut sare aise trades lagagatr bhi a jate hen, jinn me traders ko loss hota hai. Trading k dowran loss ka hona aur fitri baat hai aur traders ko iss k leye tayar bhi hona chaheye. Jab bhi trading k dowran loss hota hai, to ye loss aik khas had tak mehdod hona chaheye, iss k leye price chart par aik khas position par stop loss set kia jata hai. Ye stop loss ziada loss se mehfoz banata hai aur trades ko bohut ziada loss me janne nahi deta hai. Forex trading main aik normal stop loss hota hai, jiss ko trade k dowran hi put kia jata hai, jab dosra aik stop loss trades k munafa k sath agay agay chalta bhi hai, jiss ko trailing stop loss kaha jata hai. Stop loss ki tafseel darjazzel hai:
Trade Stop Loss
Forex trading me trades k loss ko kam karne yani aik makhsoa level se agay na jane k leye stop loss ka istemal kia jata hai. Stop loss ki madad se trader apne loss ko account k risk k hisab se manage karta hai. Trades open karte waqat stop loss ka istemal bohut aham hai, jisbko risk-reward ratio k mutabiq set kia jata hai.
Trailing Stop
Trailing stop loss ki wo qisam hai jis me traders k sarmaye k profit ko loss me na jane k leye put kia jata hai. Jab bhi aik trader kisi khas position pe market me entry deta hai, to wo us k sath hi take profit aur stop loss ko bhi select karta hai. Jab bhi trade peofit me jati hai to us waqat stop loss bhi profit k pechay pechay utni hi faisele pe move karta hai. Lekin trade k loss me jane se stop loss move nahi karta hai. Is ka basic maqsad ye hai k jo trade munafa me hota hai, wo wapis loss me na jaye aur trade profit me hi close ho jaye.