Detail of margin call.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Detail of margin call.
    Aslam u alaikum,

    Dear forex member umeed karta hun aap sab khairiyat se honge dear members Forex trading main learning, knowledge aur experience ka hona bohat zarori hai Forex trading main different basic factors hain Jin main sy aik margin call bhi hai, jisy understand karna bohat zarori hai Ini terms aur basics ko understand kar k achi trading kar sakty hain Aur knowledge base trading kar k acha profit earn kar sakty hain Istra risky trades sy avoid kar k acha profit earn kar sakty hain, aur trading expertise gain kar sakty hain



    Definition of "Margin Call":
    Margin call broker ki traf sy aik aisa notification hota hai jo hmy btata hai k hmy mazeed deposit karny ki zarorat hai, ya apni loss wali trade ko close kar dena chaiye ta k margin ko mazeed increase kar dia jaye Margin call level ma equity used margin k brabar ya kam hoti hai

    Jab trade loss main chal rhi hoti hai aur equity low hoti jati hai, aur even equity minus main jany ka dar hota hai aur equity aik certain percentage sy nechy aa jati hai to broker ki traf sy mazeed investment ka notification send kia jata hai ta k Margin level ko increase kia ja saky or trade close na hon aisy notification ko Margin call kha jata hai

    Reason of Margin Call in forex trading:
    Margin call ki different reason ho sakti hain Jiny understand karna bohat zarori hai Ta k achi trading ki ja sky Aur loss sy b bach skain aur account wash hony sy avoid kia ja sky In main sy kuch reasons ye hain, jo k nechy explain ki gyi hain


    1. Holding on losing trades too long
    :
    Margin call ki aik important reason loss wali trades ko long duration k lye hold karna hai Jis wja sy loss ziada hota rehta hai aur equity kam hoti rehti hai Jis wja sy certain percentage k bad Margin call aa jati hai Isi lye market condition ko understand karty hue loss wali trades ko ziada hold nhi karna chaiye, ta k ziada loss na ho aur margin call k threshold ko touch na kry

    2. Lack of Market analysis
    :
    Forex trading main market analysis bohat zarori hai Market analysis sy he better decisions liye ja sakty hain aur achi trade ki ja sakti hai Market analysis na karny ki wja sy trades main loss hota hai aur loss ziada hony ki wja sy margin call ati hai Is situation main agar mazeed deposit na kia jaye to account wash ho sakta hai Isi lye acha market analysis kar k he decisions lany chaiye Ta k loss na ho aur acha profit earn kia ja saky

    3. Over or Excess Trading
    :
    Forex trading main hmesha balance aur equity ko dekhty hue trade open karni chaiye aur market analysis bhi lazmi karna chaiye kabi bhi over trading nhi karni chaiye, aur na he lalach karni chaiye Over trading sy loss ho sakta hai Aur margin call ki reason ban skti hai


    How we safe our account from margin call
    :
    Hamen koshish Karni chahie ki jitna possible ho sake ham market mein margin call se bach sake aur iske liye hamen kuchh mehnat karne ki jarurat hai aur kuchh rules ko follow karne ki jarurat hai tab hi ham margin call se bache sakte hain otherwise hamara market mein nuksan hota rahegaMargin call se bachne ke liye hamen kuchh ekadamaat karne ki jarurat hai hi tab hi ham Apne account ko safe Rakh sakte hain

    Trade with Stoploss
    :
    Hamen always hi stoploss ke sath trading Karni chahie kyunki stoploss ke sath trading hamare liye kamyabi ka bais hoti hai hai agar hamen Kisi bhi trade mein koi nuksan ho jata hai to vah hamara ek had tak nuksan hota hai aur isase jyada nuksan Nahin hota aur agar hamara stop-loss Nahin hoga to hamara pura ka pura account loss mein Chala jaega isliye hamen stop-loss ko istemal karna bahut jaruri hai
    Jab ham market mein stoploss ko istemal karte Hain to trading behtar hoti hai aur agar stop-loss Ko istemal Nahin karte to trading Kabhi behtar Nahin Hoti hai
    Ap Ka aik thanks bohat zrori ha

اب آن لائن

Working...
X