What Is a Hammer Candlestick?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What Is a Hammer Candlestick?
    Introduction

    The candle is set, you have a nam namam hota hai jo is waqt hota hai jab koi security aisi qeematpar tijarat karta hai jo is ki ibtidayi qeemat se bohat kam hoti hai, lekin phir is arsay ke douran reliyan shurunshuru band walieb honat walieb hain hain. is qisam ki qeemat ke patteren ko "hathora maarna" kaha jata hai.yeh patteren hathoray ki shakal mein aik shama daan batata hai, aur nichale saaye ka size asal jism se kamaz kam dhai gina hota hai. The candle is attached to the body then khilnay aur band honay then darmiyan qeematmein farq ko wazeh karta hai, jab ke shadow qeematon ki had ko zahir karta hai jo is waqt ke douran paish aaya.

    Understanding Hammer candles

    hathoray ka matlab yeh hai ke baichnay walay ne haar maan li ho gi aur aik nichala hissa banaya ho ga, jo qeematmein izafay ke sath is simt mein mumkina ulat phair ki n Collehi karta hai jis taraf qeematein ja rahi hain. yes sabkuch aik hi muddat ke douran hota hai, jis ke douran market khilnay ke foran baad qeemat gir jati hai, lekin phir isrange mein band ho jati hai jo bilkul isi jagah se millti hai jahan yeh khuli thi.

    Using Candlestick as an example of how to use a hammer

    Qeemat mein kami ke baad hathora patteren hota hai jaisa ke sath walay chart mein dekha gaya hai. patterenmein neechay ka saya tha jo asal jism ke muqablay mein kaafi wasee tha, kayi gina taweel honay ki wajah se. hathoray ke patteren se qeemat mein oopar ki taraf mumkina ulat jane ki n Collehi ki gayi thi.Tasdeeq mandarja zail candle par zahir hui, jis ne pehlay onche jagah li aur phir dekha ke qeemat qareeb tak bolijati hai jo is qeemat se numaya tor par ziyada thi jis par hathora band sun-hwa tha.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What Is a Hammer Candlestick?

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Hammer Candlestick Pattern


    Hammer candle sigle candle pattern hone ki waja se Umbarella family se taluq rakhne wali candle hai, q k iss candle k top par small real body hoti hai, jab k nechay ki taraf aik lamba shadow hota hai. Ziadda tar hammer candles main dekha gayya hai, k candle ka shadow us k real body k size ka duggna hotta hai. Hammer candle k banne ki psychology kuch is tarah se hotti hai, k aghazz me prices bullish trend k hisab se lower pe jati hai, lekin buyers k pressure ki waja se ye bullish candle ki shap main close ho jatti hai, jis se candle ki haseyat bhi bullish ya bullish trend reversal hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (347).png
Views:	65
Size:	20.5 کلوبائٹ
ID:	12400927

    Candle Formation


    Hammer candle single pattern ki candle hai, jiss ka position prices k bottom ya bearish trend ka honna chaheye. Ye candle small real body main hoti hai, jiss ka open aur close same nahi hone chaheye, candle ki formation darjazel tarah se honi chaheye ;

    Click image for larger version

Name:	hammer-1024 (1).jpg
Views:	37
Size:	51.1 کلوبائٹ
ID:	12400928

    Hammer Candle Hammer candle small real body aur aik long downward shadow wali candle hai. Shadow candle ki real body ka taqreeban duggna ya us se ziadda hotti hai. Hammer candle ka color koi bhi hai, yanni ye white ya green jo marzi ho, iss ki haseyat bullish trend reversal ki hoti hai. Hammer candle hoti to aik small real body wali single candle hai, lekin prices k bottom main ye bullish trend reversal pattern ka kaam karti hai.

    Explanation

    Hammer candle dekhen main english letter "T" jaisa hai, jiss ko "Hathore" se melete julte shakal ki waja se ye naam deya gaya hai. Ye candle small bullish body aur long lower shadow ki waja se prices ko mazzeed downward janne se roktti hai. Hammer candle aghaz main normal bearish trend ko hi follow kartte howe downside par bearish real bannatti hai, lekin market me bullish pressure ya buyers ki dilchaspi ki waja se prices upward chalna shoro kartti hai, jiss se candle apne open price k qareeb close ho jati hai. Hammer candle baqi single pattern candle ki tarah agar prices k intehaye low point par ho to uss waqat ziada ba-asar hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (346).png
Views:	83
Size:	5.2 کلوبائٹ
ID:	12400929

    Trading

    Hammer candle doji candles ki tarah prices ko lower sode par jane nahi deti hai, jiss se qeematen lazmi bullish jane ki koshash main hoti hai. Prices k lower side par rejection battati hai, aur ye yahan se bullish trend reversal ka ishara detti hai. Pattern k leye zarrori hai, k prices downtrend main hon. Candle ki lower side pe long wick honi chaheye, jo bearish trend k tasalsul ka khatma battati hai. Pattern pe trading k leye dosree confirmation bullish candle ka intezar zarror karen, q k single candle pe trading riski hai, is waja se jaise hi dosree candle bullish bantti hai, to yahan par buy ki entry karen. Hammer candle k prices selling pressure ki waja se downward jane ki koshash karti hai, jo nakam hoti hai. Stop Loss single pattern candles k leye bohut aham hai, jo k iss candle k lower wick par jo prices ka support area hoga par set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (348).png
Views:	12
Size:	13.3 کلوبائٹ
ID:	12400926
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: What Is a Hammer Candlestick?

      Hammer Candlestick Pattern


      Hammer candle ki aik small real body hoti hai, jis ka oper ki taraf par aik long tail ya wick hotti hai. Jab k ziadda tar candle k nechay ki taraf par koi wick ya shadow nahi banta hai. Agar upper ki taraf par aik small wick ban bhi jayye to bhi acceptable hai, lekin ziada lamba ya real body se size main bara na ho. Ye candle lower trend par hone ki waja se shooting star candle ki opposite hoti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (10) (201).png
Views:	45
Size:	16.1 کلوبائٹ
ID:	12400932

      Pattern ki Pehchan k Rules

      1. Hammer candle aik small real body wali candle hai, jo Umbarella k family se taluq rakhti hai.
      2. Candle aik bullish trend reversal ka kaam karti hai, iss waja se qeematon ka pehle se low price area ya bearish trend me hona chaheye.
      3. Candle ki lower side par aik lamba shadow ya saya hota hai.
      4. Candle k upper side par koi shadow nahi hona chaheye, sewaye aik chote se nose wick k.
      5. Candle ka shadow real body se size me dugna ya us se ziada hona chaheye.


      Click image for larger version

Name:	images (10) (202).png
Views:	2
Size:	14.6 کلوبائٹ
ID:	12400933

      Pattern ki Tafseel


      Hammer candle main prices bearish jane k baad wapis open price k pass close ho jati hai, jis par candle ki aik small real body banti hai, aur lower side par aik long shadow ya wick hoti hai. Hammer candle ki up-side par wese to koi wick ya showed nahi honna chaheye lekin aggar bann jaye to is se candle k formation par koi assar nahi partta hai. Lekin upside par shadow ziada lamba nahi hona chaheye jis se ye candle "Spinning top" candle bann jaye.

      Click image for larger version

Name:	images (6) (125).jpeg
Views:	51
Size:	14.5 کلوبائٹ
ID:	12400935

      Pattern par Trading ka Amal


      Hammer candlestick pattern par entry karne se pehle prices ka bottom area honna zarori hai, dosra pattern k baad confirmation candle ya koi relaible indicator se help bhi zaror lenni chaheye. Agar hammer candle k baad aik long real body wali white candle banti hai to ye aik strong trend reversal aur market main buy ki entry ki position hogi. Pattern par apne risk k mutabiq stop loss set karen.

      Click image for larger version

Name:	images (10) (203).png
Views:	41
Size:	18.3 کلوبائٹ
ID:	12400931

      اب آن لائن

      Working...
      X