Small Doji Candle
Small doji candle market me us waqat banti hai jab aik timeframe k candle ka average open aur close position me barabar hon. Candle stick ka bodyline (open aur close) high aur low k darmeyani range pw honi chaheye.
Small doji candle ko is ki choti range (open aur close k darmeyan kam faisela) ki waja se market ki sargarmi me kami k sath aik mustehkam pattern se tabeer kia jata hai. Lekin agar ye market k bohut ziada high level aur ya bohut zyada low level pe ban jati hai to us sorat me ye qeematon ki wapasi ki taraf ishara karti hai,lekin market ki tasdeeq zarori hai aur us k leye price action se bhi madad li ja sakti hai. Small doji ke bad banne wala candle market ki up ya down trend k khatme ki waja banti hai. Small doji candle ki do qismen hen:
Small White Doji
Small white doji candle us waqat banti hai aik candle ka average open aur close position taqreeban barabar hon aur candle k timeframe k limits se kam ho. Close position open se lazmi ziada hona chaheye, jab k candle ki real-body high aur low k darmeyan honi chaheye.
Small Black Doji
Small black doji candle us waqat banti hai jab candle ka average open aur close position barabar hon aur candle k timeframe k average se kam hon. Candle ka close position open se lazmi kam hoga. Candle ki realbody high aur low k darmeyan honi chaheye.
Trading on Small Doji Candle
Agar small doji candle market k uttar-charao k baad banti hai to ye market ki reversal ka signal de rahi hoti hai. Lekin trading me abhi thora ehtiat karen k agli candle kon si banti hai, agar agli candle same color ki banti hai to ye market ki wapasi ki taraf aur agar agli candle trend wali banti hai to ye trend k tasalsul ki taraf signal de rahi hoti hai. Small doji me candle ka color mayeni nahi rakhta, humen market k trend ko dekh kar hi apni trading faisale karne parte hen.